Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein kaman banana ya dekhna


Hazrat daniyal rahmatulllah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki kaman ko baghair teer ke kheenchta hai daleel hai ki safar ko jaayega aur faaide ke saath wapis aayega aur agar kaman kheechnte waqt challa toot gaya hai daleel hai ki us ka safar tamaamna hoga aur mumkin hai ki us ko raah main zarar o nuqsaan pahunchega agar koi khwab main dekhe ki us ko kisi ne kaman di hai daleel hai ki us ke farzand ya bhai hoga aur agar dekhe ki us ki kaman tooti hai daleel hai ki sharaf aur buzurgi se gir gaya uske maal se kuch zaaya hoga aur agar dekhe ki kaman se teer dalata hai daleelhai ki us ko kisi badi aadmi ka khat milega.

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki kaman se teer daalta hai daleel hai ki huq aur baatil baat kahega teer ki raasti aur kajri ke mutabiq aur agar dekhe ki us ne apne kaman banai hai daleel hai ki us ko ajam ke badshah se sharaf aur buzurgi haasil hogi ya ajmi aurat se shaadi karega aur us ke haan ladka paida hoga aur agar dekhe ki kaman se teer andazi nahin kar sakta hai daleel hai ki us ko badshah se ya us aurat se faaida na hoga aur agar dekhe ki us ne kaman farokht ki ya kisi ko di hai daleel hai ki us ke sharaf aur buzurgi ka nuqsaan hoga aur ahal taabeer kahte hain ki kaman ki taaweel darazi umar hai.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ke paas nai aur pakiza kaman hai daleel hai ki aurat karega aur agar dekhe ki kaman taai hai daleel hai ki paidaar aurat karega aur agar dekhe ki kaman zaaya hui hai daleel hai ki aurat se juda hoga aur agar dekhe ki us ki kaman shakht thi aur kheenjeer ke waqt naram ho gai hai daleel hai ki aurat se nikah karega aur us ka kaam aasaani se hoga aur agar safar karega toh mubarak hoga aur muraad ko pahunchega aur agar dekhe ki kaman naram thi aur kheenchte waqt shakht ho gai hai toh us ki taaweel khilaf hai aur agar dekhe ki apne haath se apne liye kaman banai hai daleel hai ki kamiyab hoga aur agar dekhe ki kaman baichi hai aur us ki qeemat ke dirham aur deenar liye hai daleel hai ki duniya ko deen par pasand karega aur agar kaman ki qeemat ke rupaye ke siwa kuch aur liya hai daleel hai ki us ki muraad puri hogi aur agar dekhe ki us ko kaman bakhshish main mili hai daleel hai ki jaldi aurat karega aur dushman par fatah payega aur agar dekhe ki kaman khameeda kachchi hui us ko kisi ne di hai aur us ne nahin kheechnchi hai daleel hai ki us ki umar daraaz hogi aur agar dekhe ki us ne kamandan main kaman ko rakha hai daleel hai ki duniya se rahlat karega aur agar dekhe ki us ke paas pakiza aur umda kaman hai daleel hai ki nek kaam aur kheraat aur hasnat karega aur hajj adaa karega aur huq taala ke nazdeek hoga farmane huq taala hai pas dau kamanon ki musht balki us se bhi qareeb hua aur agar dekhe ki us ke paas bahut si kamanein hain daleel hai ki us ke bahut se dost honge jo museebat ke waqt us ki madad karenge

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne faramya hai ki khwab main kaman ka dekhna chhah wajah par hai 1. safar 2. farzand ya bhai 3. aurat 4. quwat 5. nek kaam 6. kaamon main durust aadmi.


kaman ka teer

1. us ko khwab main dekhna paighambar aur kitabat par aur taaqatwar dushman par ghalba paane par dalaalat karta hai.

2. ek sarnagon teer agar aurat teer kash main dekhe toh ye us ke shohar ke uski taraf se hat jaane par daleel hai.

3. kaha gaya ki jis ne apne haath main teer dekha toh woh wilayat izzat aur maal payega.

4. kaman se bahar toota hua teer risalat se aajizi par dalaalat karta hai aur aurat ke liye teer ka matlab shohar hai aur teer phenkna khaton main kalam par dalaalat karta hai.

5. jis ne dekha ki us ne teer se maara aur woh nishana ko na laga toh woh kisi ke liye apna paigham bhejega lekin woh kaam pura nahin hoga.

6. agar is ne dekha ki kisi aurat ya bandi ne use teer mara jo us ke dil main laga toh woh us se dil lagi aur mazah karegi aur ye us se maaliq ho jayega.

7. agar us ne teer dekhe jo mukhalif se aa rahe hai the toh us se muraad paigham rasan hain jo us ke paas aayenge aur un ki kalaam main latafat aur halawat hogi.

8. jis ne dekha ki usne teer maara aur woh nishane par lag gaya toh agar us ne mazkur aulaad ki khwahish ki toh muzzkar aulaad hogi aur kapde ka teer paigham rizaq makhtoon bete lambi umar ya keedon par dalaalat karta hai.

9. khwab main kaman dekhna safar bhai aurat ladke aur allah taala ki qurbat par dalaalat karta hai jesa ki allah taala ka farman hai “phir rah gaya farq dau kaman ke barabar ya us se bhi nazdeek.”

10. agar kisi ne kaman ghilaf main dekha toh uski beewi hamila hai.

11. agar kisi ne khwab main apni beewi ko kaman pakda ya uski beewi hamila hai aur ladki janegi.

12. agar kisi ne dekha ki uski beewi neus ko kaman pakda ya toh uska hamal ladka hai is liye ki ladke ki nisbat baap ki taraf hoti hai woh bap ke saath dukan main hota hai aur ladki ki turbat maan karti hai aur woh us ke saath ghar main hoti hai.

13. agar kisi ne khwab main dekha ki woh kaman ko kheench raha hai us ki umar lambi hogi.

14. baaz ne kaha hai ki baghair teer ke kaman ko kheenchna safar karne par dalaalat karta hai.

15. agar kisi ne khwab main dekha ki us ka kaman toot gaya hai aur uske paas koi aslah nahin hai toh uska bhai ya beta ya shareek ya dost mar jayega.

16. agar kisi ne dekha ki uske kaman ka qabza toot gaya hai toh ke haath toot jane par dalaalat karta hai jesa jesa ki haath toot jaane ki dalaalat kaman ke toot jane par hoti hai.

17. agar kisi ne khwab main apne kama ko toota hua apne haath main dekha toh sahibe khwab wilayat se mazul hoga agar woh wali hai aur agar tajir hai toh tijarat main nuqsan waqe hone par dalaalat karta hai.

18. agar kisi ne khwab main nojawan ko kaman ka taant lagaye hue dekha toh daleel hai ke dushman ne us ke khilaf zabani mawad haasil kar liya hai jisko woh uske khilaf istemal karega.

19. khwab main arbi kaman dekhna arab sar zameen ki taraf safar karne ki daleel hai.

20. farsi kaman dekhna faris ki taraf safar ki alaamat hai.

21. agar kisi ne khwab main kaman ko taant lagaai toh ye us ki shaadi karne par dalaalat karta hai.

22. uski taant ko kholna beewi ko talaaq dene ki daleel hai.

23. agar kisi ne dekha ki badshah ne us ko dau kaman ataa kiye ya sahibe khwab aur badshah ke darmiyan dau kaman ka fasla hai toh sahibe khwab martaba payega aur ek qaum par usko imarat milegi jesa ki allah taala ka farman hai.

24. dau kamanon ko dekhna dau chokidaron par dalaalat karta hai.

25. agar kisi ne khwab main apne kaman ko todh diya toh woh safar karega aur saheeh salamat wapis laut aayega.

26. agar taant toot jaye toh safar ki jagah main koi napasand cheez pesh aayegi kabh uski ruiyyat ke na mukammal hone par dalaalat karti hai.

27. kabhi us kaman ke zariye teer chalana baatil kalam par dalaalat karta hai aur kabhi huq kalam par teer chalane ke baqadar woh kalam nafiz hoga.

28. agar kisi ne khwab main dekha ki woh kaman bana raha hai aur us ko cheel raha hai toh us ko badshahat milegi ya shaadi karega ya usko muzakkar aulaad naseeb hogi.

29. agar kisi ne dekha ki woh kaman ko kheench raha hai aur woh kheenchta nahin ja raha hai toh jis ki taraf woh kaman mansoob hai us par maamla mushkil hoga aur woh maghloob hoga.

30. agar kisi ne khwab main kaman ka taant lagaya aur woh toot gaya toh sahibe khwab apni beewi ko talaaq dega kabhi uski taabeer wilayat se maazul hone se bhi jaati hai.

31. agar kisi ne kaman kheencha aur us se aawaz nikli phir us se teer chalaya aur teer gaya toh usko ek khatarnak hukumat milegi aur us ka hukum insaaf saath qaaim hoga agar us kaman se teer chalaya toh us ka hukum aur nahi nafiz hoga agar teer harf ko lagaya toh woh huq aur insaaf ke saath hukm chala raha hai agar woih teer harf ko nahin laga toh woh us main zulm par zulm kar raha hai aur hukumat karne se qaasir hai.

32. agar koi kaman ko taant laga raha hai magar woh us par mushkil ho raha hai agar sahibe khwab musafir hai toh safar main usko mashakkat milegi agar taajir hai toh tijarat main khasara hoga agar us ka koi ladka hai toh woh nafarman hai agar shaadi shuda hai toh uski beewi nafarman hai gar kaman ko taant aasaani se lagi hai toh us ki taabeer mandarzah bala ke bar aks hogi.

33. agar kisi ne kaman se teer chalaya aur woh harf ko laga toh sahibe khwab ki aarzoo puri hogi agar sahibe khwab parhezgar aadmi hai toh amar bil maaruf aur nahi an ul munkir karega aur amanat ko adaa karega.

34. baaz maabreen ne kaha hai ki agar kisi ne khwab main arbi kaman se teer chalaya toh badshah ki taraf izzat ke saath kisi ke maamla main safar karega.

35. agar kisi ne dekha ki us ne farsi kaman se teer chalaya toh woh ajmi qaum ki taraf safar karega aur use un ki taraf se izzat o sharaf haasil hoga.

36. agar kisi ne dekha ki us ke haath main taant lagi hui kaman hai toh us ke haan ek qawi ladka hoga.

37. agar kisi ne dekha ki us ne apni kaman ko baicha hai toh woh deen aur duniya ko apne liye makhsoos karega.

38. agar kisi ne dekha ki us ne allah taala ke raaste main teer chalaya toh us ko izzat aur sharaf naseeb hoga aur logon main zikar kher ki bhi daleel hai.

39. agar kisi ne dekha ki woh khwab main teer andazi main muqabla kar ke ghalib aaya toh maghloob se sahibe khwab ki haajat puri hogi.

40. agar kisi ne khwab main bandook chalai toh woh kisi insaan par tohmat lagayega.

41. jungle main bandooq chalana shikaar aur ghaneemat ke hasool ki daleel hai aur shohar main bandooq chalana chhoti gawahi dene ki alaamat hai.

42. agar kisi ne shohar main chidya ki taraf bandooq se faaida kiya toh woh ek mote aadmi par jhoot bandhega aur jhooti gawahi ka murtakib hoga.

43. agar sahibe khwab ko bandooq ki goli lagi toh us ke gunah hone ki daleel hai.

44. badshah ke darwaze par bandooq se fire karna logon ko ghaneemat karne aur un ke mazaaq udhane par dalaalat karta hai.

45. agar banduq se kabootar par fire kiya toh woh kisi aurat par tohmat lagayega.

46. agar kisi ne khwab main banduq ke zariye teer chalaya toh woh be wajah guftagu karne par dalaalat karta hai agar teer nishana par laga toh us baat par maqbooliyat haasil hogi agar khata hua toh woh baat us par wabal banegi.

47. banduq ki kaman sahibe kaman ke liye baghawat ki daleel hai.

48. geer wali kaman dekhna lambi umar ki daleel hai.

49. agar kisi ne apni kaman ko todh diya toh thoda khasara hone aur zyada nafaa milne ki daleel hai.

50. khwab main us ko dekhna madraza zail amoor par dalaalat karta hai lambi umar shakht takleef dushman ke muqable main madad kaman aur logon aur logon ko jihad ke liye niklane par ubharne wala shakhs baaz ne kaha hai ki kaman saaz ya kaman farosh fauj ka kanadar ya badshah hoga.






Kamaan banana
hamlaa hai to beta ho ya auraat mile.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!