Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein KapRa Seena


Hazrat ibn seereen rahamtullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki apna kapda seeta hai daleel hai ki us ka kaam muraad ko pahunchega aur us ka haal durust hoga aur agar apne ayaal ka kapda siye toh bhi yahi taaweel hai aur agar dekhe ki beghani aurat ka kapda seeta hai daleel hai ki us ko gham aur nuqsaan pahunchega aur agar dekhe ki kisi mard ka kapda si raha hai daleel hai ki khair aur neki dekhega aur agar dekhe ki sui haath main hai auir tamaam kapda si liya hai daleel hai ki jo kaam us ke aage hai tamaam karega aur agar dekhe ki us ke ghar main bahut se kapde siye hue hain daleel hai ki us ki aish farakhi hogi aur pura maal wirasat se payega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki apne liye peerahan siya hai aur tamaam kiya hai daleel hai ki ayaal se muwafiqat hogi aur agar dekhe ki shalwar si hai aur usi ka nefa pura nahin kiya hai daleel hai ki aurat karega aur aakhir kaar us se juda hoga aur agar dekhe ki qabasi hai toh daleel hai ki kisi khidmat main mashghool hoga aur agar dekhe ki ayaal ka kapda seeta hai toh daleel hai ki ayaal ki guftgu main aajiz hoga aur agar dekhe ki dhoye hue kapde ke waaste dhaga bat raha tha daleel hai ki ayaal ko ek jagah se dusri jagah badlega aur agar dekhe ki apne ayaal ke liye resham ka kapda si raha hai daleel hai ki ghamgheen hoga aur gunah ki tohmat main andwa payega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main darzi woh shakhs hai jo pura ganda saamaan ko jamaa karta hai aur islaah main laata hai.


kamar par bandhne wala kapda

khwab main use dekhna maamlat ki dushwari ki alaamat hai magar ye sahibe khwab ayese masalah main mubtala ho jis main use maawin ki zaroorat ho toh ayesi soorat main ye khwab us ki aarzoo aur haajat ke pura hone ki daleel hai.

kapda faroosh kapde ka taajir

kisi ne dekha ki woh khwab main kapda farokht kar raha hai lekin us ki qeemat wasool nahin ki toh daleel hai ki woh bada azeem aadmi banega logon main us ki kar kirdgi ki shoharat hogi aur logon par us ka ahsaan hoga logon ko deeni o duniyawi rahnumai karega agar dekhe ki woh kapda baich raha hai aur us ka saman dirham ki soorat main wasool kar raha hai toh us ki taabeer bhi wohi hogi jo oopar bayan hui hai lekin ye saare kaam riya ke liye honge aur ayesa kaam karega jis se saare aamaal ka ajar khatam hoga aur agar woh dushman deenar ki soorat main wasool kare toh taabeer ye hai ki woh ahsaan ka maamla bhi karega aur napsandeeda kaam bhi anjaam dega baaz ulmae taaweel ka kahna hai ki khwab main wajan karna rishwat aur taawaan ki nishani hai khwab main kapde ke taajir se mulaaqaat faqar ke baad ghunna aur waraq ki daleel hai agar ghiar shaadi shuda shakhs kapda farokht karne wale se khwab main mulaqaat kare toh taabeer ye hai ki woh shaadi karega.

kapda udhana

khwab main kapda udhana natalabe rizaq o khushi ki alaamat hai aur muqaam buland ke hasool ki bhi daleel hai.

kapda waghair bunna

khwab main us ki dalaalat umar ke lapat jaane aur aksar ayaam ke beet jane par hoti hai kabhi us ki dalaalat haalat ke maatadal hone par hoti hai ya us ki dalaalat duniya ke kashada hone aur kabhi tang hone par hoti hai agar dekhe ki woh kapda bun raha hai toh daleel hai woh taweel safar karega khwab dekha ki kapda bunne ke liye taane kas raha hai toh ishara hai ki woh safar ka ajam karega khwab dekha ki kapda bun kar phir us ko kaata toh taabeer hai jis kaam ko woh talab kar raha hai woh mukammal ho chuka hai agar sahibe khwab qaid ki haalat main ho toh us se khulasi ki alaamat hai agar mahboos ho toh kashadgi par dalaalat karta hai agar kisi se jhagda ho toh us se sulah karne ki alaamat hai rui oon baal aur resham wagaira se kapda bunne ki taabeer main koi farq nahin lapta hua kapda dekhna safar ki alaamat hai kapde ko phelana kisi ghaib ke aamad ki daleel hai kisi ne khwab dekha ki us ne oon ka kapda azeeb tan kiya hua hai toh taabeer hai ki woh zahad ki zindagi guzaarega aur dusron ko zahad ki zindagi guzaarne ki daawat dega sabz rang ka kapda nafaa aur adam mazrat par dalaalat karta hai kisi ne dekha woh sabz rang ka kapda pahne hue hai toh daeen ki pukhtagi ki daleel hai aur mayyat ko sabz kapdon main mabloos dekhna andallah us ki achhi haalat par dalaalat karta hai baaz ulma taabeer kahte hain ki sabz libaas pahnna meeras milne ki taraf ishara hai aur safed kapdon main mabloos hone ki taabeer behtar hai rangrez ka safed kapdon main apne aap ko dekhna behudgi ki alaamat hai aur usi tarah har qeemati kapda pahnna daleel behudagi wa bekaari hai is liye rangrez rang ka amal karte hue safed kapde nahin pahante kisi ne dekha ki us ne kaale rang ka kapda pahna hua hai haalanki bedaari main kaale rang ke kapde pahnne ka aadi nahin hai toh daleel hai ki usko napasand maamla se do chaar hona padhega aur agar ayesa shakhs ye khwab dekhe jo haalat baidaari main kaale kapde pahnne ka aadi hai toh ye khwab uske liye daleel sardari sharaf o hukumat hai khwab main surkh kapde main mabloos hona ayesa maal milne ki daleel hai jis main allah taala ka huq mutaliq aur wajib hai aur zakaat ke maamle main darne ki taraf ishara hai aurat ka apne aap ko surkh libaas main mabloos dekhna uske liye khushi ki alaamat hai kisi ne khwab main badshah ko surkh libaas zaib tan kiye hue dekha toh daleel hai ki woh lahu wa laab main mashghool hoga aur uski hukumat kamzor hogi aur dushman usko lalchai hui nazaron se dekhega mareez ka apne aap ko surkh kapdon mai dekhna uski maut ki daleel hai aur fuqraa ke liye bhi ye khwab nuqsaan o mazrat ki alaamat hai range hue kapdon ki taabeer baazuon ke liye phoda phunsi aur baazuon ke liye bukhar main mubtala hone ki daleel hai ghair shaadi shuda aurton ke liye surkh libaas pahnne ki taabeer achhi hai aur un logon ke liye bhi behtar hai jawaab tak maidaane jang main nahin utre aur surkh range hue kapde pahan kar eid gaah ya dusre ijtimaat main jaana koi mazar nahin hai khwab main peele rang ke kapde pahanna daleel marz o alaamat kamzori hai magar peele rang ka reshmi kapda pahnna fasaad fi addeen ki alaamat hai kisi ne dekha ki mukhalif rangon main range hue kapde pahan rakhe hain toh daleel hai ki sultane waqt se napsandeeda baat sunega usko chahiye ki us ke shar se allah taala ki panah talab kare kisi ne dekha ki woh dau rang ke kapdon main mabloos hai ya tilsilaalan kapda pahan rakha hai toh daleel hai ki sahibe khwab deendaaron aur duniyadaaron ki madaarat karta hai maghsool kapde faqar o deen par dalaalat karte hain aur jadeed magar mele kapde deen o zanoob ki alaamat hote hain mukhtalif rangon main manqoos kapda sharaab farooshon ya kisi qisam ke mashroobat faroosh ke liye khair ki daleel hai aur un ke alawah dusre logon ke liye pareshani shiddat ahshiya khufiya ke zahoor ki taraf mayyashar hai aur mareez ke liye ayesa khwab dekhna badhazmi aur kadwahat aur zyada marz ki alaamat hai aur kabhi us ki taabeer peelapan ke marz main mubtala hone se ki jaati hai yahi khwab aurton ke liye behtar hai khaas kar maaldaar faahsha aur mughniyat qisam ki aurton ke liye behtar hai kisi ne khwab dekha ki woh resham ke kapdon main mabloos hai toh daleel hai ki us ko hajj naseeb hoga aur surkh rang ka resham pahnna dena ki alaamat hai jo jiddat ke saath milegi aur peele rang ka resham dena maamlmarz par dalaalat karta hai kisi ne dekha ki us ne chhupa kiya hua kapda pahnna hai agar woh wilayat ka ahal hai toh zameendaron ka wali banega aur hukumat karne ki salahiyat us main na ho toh taabeer hai ki usi saal us ko khushali naseeb hogi kisi ne khwab main kisi aalim ko resham ke kapde pahne hue dekha toh daleel hai ki duniya talab kar raha hai aur bidaat ki taraf logon ko bula raha hai naqsh o nighar wala kapda pahnna hajj aur kis arab mulk ke safar par dalaalat karta hai kisi ne dekha ki us ne apne kapdon ke neeche bareek kapda liya hua hai toh daleel ki us ke paas maal ayega aur woh us ko zakheera kar lega aam kapdon ke oopar bareek kapda pahnna makro aur khutafi ul deen ki daleel hai aur alaniya fasaq wa fujur ki alaamat hai mote kapde ki taabeer bareek ke muqable main behtar hai aurat ka bareek kapda pahnna us ki izzat ki taraf ishara hai aur mota kapda pahnna shiafaqat ki alaaamat hai sone chandi se bana hua kapda deeni o duniyawi islaah ki alaamat hai aur ummeed bar aane ki daleel hai naram o qeemati libaas pahnna aghniya wa faqeer ke liye behtar hai aur ghulamon aur khadimon ke liye daleel hai marz hai khwab main naya kapda pahnna ghani ke liye ziyadate maashiyat aur faqeer ke liye sharwat aur madeeuyon ke liye addayegi deenki daleel hai kisi ne khwab ne khwab dekha ki us ne ghusal karke naye kapde pahne toh us ka gham jata rahega aur use behtari haasil hogi kisi ne dekha ki usne ghusal kiya neye kapde nahin pahne toh daleel hai ki us ko jo kuch milega us se us ki muwafiqat nahin hogi kisi ne dekha ki us ne khwab main ayesa naya kapda pahna hai jo phata hua hai aur us ki pahtan na qaabil silah hai toh daleel hai sahibe khwab laa walad hoga agar pahtan qaabile islah hai toh daleel hai ki sahibe khwab par kisi ne jadoo kiya hai pahte purane kapde pahnna maut par bhi dalaalat karta hai aur purane kapda pahnna gham o hum par bhi dalaalat karta hai kisi ne dekha ki us ke kapde chodaai main phate hue hain toh daleel hai ki us ki izzat par harf aayega aur kisi shareer aadmi ki taraf se us ko takleef pahunchegi kapdon ka taulan phat jaana daleel kashadgi hai kapda phadne wale ki taabeer khud sahibe khwab hai agar us ko janta hai agar us ko nahin jaanta toh daleel hai sahibe khwab ko ayesa nuqsaan pahunchega jis ki wajah se woh mashoor hoga baaz dafaa kapdon ka phat jaana deeni nuqsaan ki alaamat hota hai aur kabhi ye khwab zindagi tang hone ki bhi alaamat hai aur qabeeh qism ke kapde nuqsaan ki alaamat hain khwab amin kapdon ke andar tari dekhna safar ke baad aqaamat ki daleel hai aur qasad kiye hue kaam mahboos hone ki alaamat hai khwab main apne ya dusron ke kapde dhona maash main aane wale nuqsaan ke dafaa hone par dalaalat karta hai aur mukhfi ashiya ke zahoor ki bhi alaamat hai khwab main apne kapdon ko zaaya karna faqeer mahboos madyun aur ghulaam ke liy6e behtar nahin hai aur mazkura afraad ke alawa logon ke liye khair ki alaamat hai aur kabhi ye khwab zeenat ke khatam hone ki daleel bhi hai kisi ne khwab dekha ki us ne zamana libaas pahan rakha hai aur dil main aurton ke saath tashba ka khayal bhi aa raha hai toh sakht gham aur hukumate waqt ki taraf se shakht khaaif rahne aur musallat hone ki taraf ishara hai kisi ne khwab dekha ki woh aurton ke libas mai mabloos hai aur un ke aurton ke tarah ka fauj hai toh daleel hai ki us ki haalat matgheer hogi aur zillat ka saamna karna padhega aur agar us farz se jamaa bhi kiraye toh dushmanon se maghloob hone ki alaamat hai kisi ne dekha ki us ne majhool qisam ke kapde pahan rakhe hain aur un main mukhtalif rang badalta rahta hai toh us ki apne dil ke mansha ke mutabiq badalne ki alaamat hai kisi ne dekha apne kapde khaa raha hai toh alaamat hai ki woh apne us maal se khaayega jo kapdon ki taraf mansoob hai phate hue naye kapde milna khuli raqam ki taraf ishara hai aur purane kapde gham ki alaamat hain khwab main kutte ko oon ka kapda pahne hue dekhana badshah ke adal o insaaf karne par dalaalat karta hai sheer ko ruiy aur kaatan ke kapde pahne hue dekhna badshah ke zulm aur amwaal chhinne aur mahrum karne par daal hai khwab kataan nastar ke kapde pahnna maashiyat aurmaal halaal par dalaalat karta hai khwab main mele kuchele kapde utarna ya un ko jalana gham ke door hone ki alaamat hai kabhi naye kapde khana maal halaal aur mele kapde khana maal haraam khane par dalaalat karta hai

kapde bunne ki machine

us ki dalaalat harkat aur safar par hoti hai aur neeche pada ho toh mahboos hone par dalaalat karta hai us liye ki ye lakdi khadi hoti hai aur aurtein khadi hon keeda bunti hain zaroorat manon ke liye use dekhna kuch milne ki daleel hai aur kabhi us ki dalaalat azeem mansab milne par bhi hoti hai agar aurat ne khwab dekha ki koi dusri aurat us ko utha kar us ki jagah beth kar kapda bunne lagi toh ye uski maut ki daleel hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!