islam
khwab mein khareed o farokht dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main quraan shareef bechna is amar ki daleel hai ki us ka deen us ke nazdeek haqeer hai. aur is ne apne aap ko zaleel o haqeer kiya. aur koi shakhs khwab main dekhe ki us ne apna ghulam farokht kiya hai toh daleel hai ki uska kaam us par tang hoga aur woh kam hoga. aur agar dekhe ki apni aurat ko becha hai toh daleel hai ki us ki rahmat aur buzurgi zaail hogi aur woh badnaam hoga. lekin agar us baat ke siwai jo bechi hai us ki aur aurat ho toh daleel hai ki us ki phir bahtari hogi.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki jo cheez deen main pyari hai iska khwab main bechna bura hai aur uska khareedna achha hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki jo cheez deen main pyari hai iska khwab main bechna bura hai aur uska khareedna achha hai.