islam
khwab mein Kisi Ko Rukhsat Karna
1. khwab main rukhsat karna zawaal mansab ya talaaqe zawaja ya maute mareez ya apne watan se nikalne ya ek pesha se dusre peshe ki taraf muntaqil hone ki alaamat hai chahe khud rukhsat karne wala ho ya koi dusra.
2. kisi ne khwab dekha ki woh apni beewi ko alwada kah raha hai toh taabeer hai ki us ko talaaq dega.
3. baaz ulma ka kahna hai ki twade moda ki mufarqat maut ya aur kisi sabab se ki daleel hai.
4. kabhi toh deea shareekan ke shirkat se phir jaane hukumran ke maazool hone aur taajir ke khasara main waqe hone par dalaalat karti hai.
5. baaz ulma ka kahna hai ki tawde ki taabeer achhi hai chunancha us ki taabeer mutalqa beewi se ruju shareek kar ke saath masalehat taajir ke liye munafa hakim ke liye us ki wilayat wapis milne aur mareez ke liye shatatyab hone se ki jaati hai daleel hai ye dete hain us ke liye lafz o daaf istemal hota hai us ka ek maani raahat bhi hai dusri daleel hai ye hai ki dawaa ka ulat aad hai jis ka maani lotna hai.
6. baaz ulma ne kaha hai ki khwab main alwada karna tauba karne aur sunne wale daunon ke liye bura hai is liye ki alwada ke alfaaz ek dursre se judaai ke waqt isltemal kiye jaati hain.
7. usi tarah ye khwab jis se shaadi ki ummeed ho us ke batlaan par dalaalat karta hai usi tarah ye shirka ki judaai aur mareezon ki maut par bhi dalaalat karta hai.