Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Kitaab Parhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki tafseer ki kitaab padhta hai daleel hai ki raahe deen aur zaahid ki taraf maail hoga aur us apr basta kaam kashada hognge aur agar dekhe ki fiqah ki kitaab padhta hai daleel hai ki nakardni kaamon se rukega agar dekhe ki tawarikh ki kitaab padhta hai daleel hai ki badshah ke nazdeek sahibe raaye hoga aur agar dekhe ki asool ki kitaab padhta hai daleel hai ki ayese kaam main mashgool hoga ki nafaa ranj se haasil karega aur agar dekhe ki tauheed ki kitaab padhta hai daleel hai ki ulmaai deen se mashghool hoga aur woh ayesa kaam farmayenge ki jis se deen ka faaida hoga aur agar dekhe ki fazaail aur tasbeeh aur tahmeel ki kitaab padhta hai daleel hai ki us ki zubaan par kher o islaah ki baat jaari hogi aur agar dekhe ki qisson ki kitaab padhta hai daleel hai ki auliy e kiraam ki baaton par harees hoga aur agar dekhe ki najoom ki kitaab padhta hai daleel hai ki us ko jahaan ki islaah haasil hogi aur agar dekhe ki kitaab naju aur aadaab ki padhta hai daleel hai ki duniya ke kaam main mashghool hoga aur log us ki sifat wa sana karenge aur agar dekhe ki kitaab rasaai padhta hai daleel hai ki shaadi ki islaah main mashghool hoga aur agar dekhe ki kitaab tabaa padhta hai daleel hai ki cheezon ki talab aur un ki shinakhat main mashghool hoga aur agar dekhe ki ki shaar ki kitaab padhta hai agar ghazal aur madah hai daleel hai ki ayese kaam main mashghool hoga ki log us ko malamat karenge aur agar naat aur tauheed padhta hai daleel hai ki nek hoga aur agar dekhe ki taabeer ki kitaab padhta hai daleel hai ki kisi sardaar par kisi badi baat se ahsaan karega aur us se kuch paayega aur agar dekhe ki kitaab hadiya padhta hai daleel hai ki kisi amal main mashghool hoga ki jis se us ko log daana kahenge lekin deen ka faaida na hoga aur agar dekhe ki kitaab masahib aur qiza padhta hai daleel hai ki safar ko jayega aur us se munafaat payega aur agar dekhe ki hisaab ki kitaab padhta hai daleel hai ki humesha ghamnaak rahega aur agar dekhe ki hansi aur fasaad ki kitaab padhta hai daleel hai ki sab kaamon se bura kaam karega aur agar dekhe ki huju aur aib ki kitaab padhta hai daleel hai ki logon ki aib cheeni karega aur un main badnaam hoga.


khat wa kitaab

1. khwab main jang ke dau girhon ke maabain khat wa kitaabat ajal ke qareeb hone fitna ki aag bujhne atbaa huq mareez ki maut ya mazloom ki madad ki alaamat hai.

2. agar koi shakhs khwab main qaasad ban gaya hai tauba ye us ke muqaam wa martaba ke buland hone ki basharat hai.

3. khwab main kitaab dekhna quwat hai.

4. agar kisi ne apne haath main kitaab dekhi toh us ko quwat aur taaqat milegi.

5. khuli hui kitaab dekhna mashoor khabar hai agar band kitaab hai toh khufiya khabar hai agar woh kitaab bachcha ke haath main hai toh woh basharat hai kisi londi ke haath main dekhna khushkhabri hai kisi aurat ke haath main kitaab dekhe toh us ka maamla hal hoga.

6. agar woh kitaab khuli hui hai aur us aurat ne naqaab liya hua hai toh woh khabar darawani aur mashhoor hai agar woh aurat khubsoorat aur khushboo lagai hui hai toh ek achhi khabar ki daleel hai aur shoharat ki alaamat hai.

7. agar kisi apne haath main leti hui kitaab dekhi toh ye us ke marne ki daleel hai.

8. apne saamne khuli kitaab dekhna qaabil rashk hone taaqat aur nemat milne ki daleel hai.

9. kisi badshah ne khwab main dekha ki us ne ek sarbahar kitaab ya khat kisi insaan ko diya aur us ne us ko wapis kar diya toh us ki bheji hui fauj ko shikasht hogi.

10. yahi khwab koi taajir dekhe toh apni tijaarat main khasara uthaiyega.

11. agar kisi ko paighaam nikah diya hai toh us main kamiyabi nahin hogi.

12. khwab main apne daain haath main kitaab dekhna kisi ke saath mukhsimat karne ya us ke baare main shak main mubtala ke liye wazahat ki daleel hai.

13. tang dast aur ghamzada ke liye kashada dasti aur gham door hone ki basharat hai.

14. apne watan se ghaaib shakhs ke liye khus wa kharam apne watan ki taraf lotne ki alaamat hai.

15. baain haath main kitaab dekhna apne kiye par naadim hone par dalaalat karta hai.

16. daain haath main kitaab hona khushali saal ki alaamat hai.

17. agar kitaab kisi shakhs ne us se apne daain haath main li hai toh ye shakhs us se ya us ki wajah se koi qeemati tareen cheez lega.

18. kisi kaafir ne khwab dekha ki us ke haath main quraan ya koi arbi kitaab hai toh daleel hai ki woh zaleel hoga aur gham wa hazan main mubtala hoga ya shiddat wa takleef ka shaikar hoga.

19. khwab main kitaab phadna gham ke khatam hone fitne aur sharoor ke dafaa hone ya bhalai milne par dalaalat karta hai usi tarah kisi musalman ka apne haath main faarsi kitaab dekhna wa mushfaqat main padne se maabbir hai.

20. khwab main sar bahar khat milna badshah ke ataat guzaar hone ki daleel hai aur baaz ahal taabeer ke nazdeek kher milne ya ayesi azeem riyasat milne ki basharat hai jis main qareeb wa baeed sabab matee hon.

21. agar kisi aurat ko khutba nikah dene ke baad ye khwab dekhe toh mahar zad hona us ke saath nikah ke yaqeen hone ki daleel hai.

22. khwab dekha ki us par aasmaan se kitaab naazil hui aur woh us ko samajh raha hai toh agar us main kher ki baatein hain toh kher aur agar shar ki baatein hain toh shar ki alaamat hai aur kabhi kitaab ki dalaalat humn nasheen par bhi hoti hai aur kabhi kitaab ki dalaalat beemari se theek hone par hoti hai.

23. ayesi mujlad kitaab dekhna jis ki mandarjaat ko samajha nahin jaa raha hai apne peshe main khayanat karne ki daleel hai aur bai majhool ki alaamat hai sahibe kitaab ek waqiya naqal karte hain farmate hai ek shakhs ne mujh se kaha ki main ne khwab main tumhein dekha ki tum bahut saari kitaabein utah kar mere ghar main aaye aur un ko mere paas chhod kar kaha ki un ko lelon toh main ne us ki taabeer batate hue kaha ki mujh jese shakhs ki taraf se mukhtalif khabrein tumhein milengi chunancha us ne kaha balakar saheeh hai raat ayesa hi hua hai.

kitaab ki tahreer ya kitaab ki tah

1. khwab main uski ruiyyat ayesi majlid kitaab ki daleel hoti hai jo qeemati baaton par mushtamil hua aur uski dalaalat ghar shaadi shuda mard ke liye maaldaar beewi aur aurat ke liye maaldaar shohar hone par hoti hai lafz daraj chunancha dusre maani main bhi mustamil hota hai is liye un ki taabeer bhi bayan karte hain aur daraj al kitaab ke dusre maafi maslan taraju ka danga ataar ki dabiya un sab ki ruiyyat munafaa faaida zarooriyat ki takmeel par dalaalat karti hai aur kitaab ka waraq jisko daraja kahte hain tawil umar ki daleel hai khwab main ayesi dibiya dekhna jismein mauti aur jawahraat hon kuch dinon baad milne wali basharat wa khushi ki daleel hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!