Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Kunwan dekhna


1. khwab main paani dekhne ki taabeer makh aur khush tabaa beewee milne se koi jaati hai.

2. agar aurat khwab main paani dekhe toh ye us ke liye ba akhlaq shohar milne ki daleel hai, kunwan dekhna maal, ilm ya shaadi par dalaalat karta hai aur kabhi us se muraad qaidi, qaidkhana aur shajish bhi hoti hai.

3. kisi ne khwab main kunwan khoda aur us se paani nikal aaya toh taabeer ye hai ki sahibe khwab ek maaldaar aurat se nikah karega aur us ke saath makar karega is liye ki us ne gadha khoda hai.

4. agar kunwan khoda magar paani nahin nikla, toh ye ghareeb aurat se nikah ki daleel hai.

5. agar kisi ne dekha ki woh kunein se paani piya hai toh taabeer ye hai ki agar sahibe khwab use khud khoda ho toh woh chaal se maal haasil karega.

6. agar kisi dusre ke zariye khudwaye toh us ke ya us ke hum naam ke zariye us ko maal milne ki daleel hai.

7. kisi ne khwab main purana kunwan dekha ki us se aane jaane wale log dhol aur rassi ke zariye paani le rahe hain toh taabeer ye hai ki us muqaam par koi aurat ya kisi aurat ka shohar ya sarparast hoga jis se log apni maashiyat ke silsile main faaida haasil karenge.

8. agr dekha ki kunwan ka paani bhar gaya aur bahir bah gaya toh ye us ilaaqe main gham o hazan aur rone ki alaamat hain.

9. dekha ki kunwan bhar gaya hai likin bahar nahin baha hai toh ye kher ki alaamat hai.

10. kisi ne dekha ki woh apne baagh ko seraab karne ki liye kunwan khod raha hai toh taabeer ye hai ki woh ek dawa tayyaar karega, us ko istemal kar ke apni beewee ke saath jamaa karega.

11. kisi ne dekha ki us ka kunwan bhar gaya aur us ka paani bahar intna bah gaya ki makanat main dakhil ho gaya. toh taabeer ye hai ki sahibe khwab ko ayesa maal milega jo us ke liye o baal ka sabab banega.

12. agar dekhe ki paani ghar se nikla hai toh ye gham ke khatam hone aur baqdar kharuz paani, maal kam hone ki daleel hai.


13. kisi ne khwab main dekha ki woh ayese kunwein main gir gaya jis ka paani gadla hai toh us ki taabeer ye hai ki sahibe khwab kisi jaabir o zulm sarkari aadmi ke saath tasarruf karega. aur us ki sajish o zulm ki zad main aayega aur us ka maamla us par mushkil ho jayega.

14. agar dekha ki kunwein main gir gaya magar us ka paani sirf o shafaaf hai toh taabeer ye hai ki sahibe khwab kisi saleh aadmi ke liye kaam karega aur woh us se raazi hoga.

15. agar dekha ki woh kunwein ke upar betha hua hai toh ye daleel hai ki woh ek makkar aadmi ke saath maamle karega aur uske qaid se bach jayega.

16. kunwein main kuch dhol wahgaira daalna safar ke alaamat hai.

17. naa maalum jagah main bethe paani wala kunwan dekhna hasoole duniya ki nishani hai aur baqadar paani, rizaq milne aur umar ke daraaz hone ki bhi alaamat hai.

18. khwab main kunwan ka munhadam hona sahibe khwab ki beewee ke marne ki daleel hai.

19. kisi ne khwab dekha ki us ke daunon paaon kunwon main latke hue hain toh sahibe khwab maal ke maamle main shajish ka shikaar hoga.

20. kisi ne khwab main dekha ki woh kunwein main utara aur darmiyan main azaan di toh ye safar ki daleel hai aur agar us ke raaste main paani khushk hota chala gaya toh ye sardaari, wilayat o hukumrani milne ya tijarat main nafaa haasil hone ki alaamat hai.

21. agar darmiyan main kisi dusre ki azaan suni toh taabeer ye hai ki agar sahibe khwab hukumraan hai toh apne auhde se maazool kiya jayega.

22. kisi ne dekha ki us ke ghar main ya zameen main kunwan nikla hai toh daleel hai ki sahibe khwab ki maashiyat main istahkaam hoga aur tangi ke baad khilaaf tawqaa o saat naseeb hogi.

23. kisi ne dekha ki woh kunwein main gir gaya toh ye apne rutbe se aur izzat se girne ki nishani hai.

24. kunwan mandarja zail ashiyan par dalaalat karta hai. walid, waildah, qabar, sajish, ghalim galoch, zaroorat ki takmeel, safar, maqaasid ka pura hona, najal o waghiara yaani mukhtalif haalaat main us ki taabeer mukhtalif ashiya se ki jaati hai. maslan ghar ke kunwein ki dalaalat sahibe khwab ki beewee, khadim, us ki dukaan, us ke maal aur uski maut o haayaat waghaira se hoti hai aur waghaira mustamil kunwan anqtaa safar ki alaamat hai aur raaston mai mustamil kunwon ki taabeer masaajid waghaira se ki jaati hai.

25. aur kabhi kunwon ki taabeer ayesi zaaniya aurat se ki jaati hai ki jis ke paas har koi aata ho.

26. agar kunwein se muraad us ke nigraan ya padhosiyon ke amwaar ke nigraan hon toh raaste kunwan tangi ke baad wasaat ki alaamat samajha jayega.

27. aur zameen seraab karne wala kunwan dekhna duniya hai ki jis se baaz faaida haasil karein aur baaz us ke muhtaaj hon.

28. kabhi kunwan madaris o makatib par bhi dalaalat karta hai.

29. paani se khaali kunwein ki taabeer dhoka aur khuda se ki jaati hai.

30. kisi ne khwab dekha ki kisi muhalle ya shahar main aabe zam zam ka kunwan nikla hai toh taabeer hai ki us ilaqe main ayesi aadmi ka darud hoga ki logo us ki neki ya dua se mastfeed honge. kabhi ye khwab us ilaaqe ke logon ke liye apne dushmanon par ghalba aur barkat ki nishani bhi samajha jaata hai kabhi bawaqt zaroorat baaraane rahmat ke nazool ki alaamat hai.

31. kunwein ke qareeb khada ho kar us ka saaf paani peena ahle ilm ke liye baqadar rasharbe paani ilm aur faqeer ke liye ghuna aur ghair shaadi shuda ke liye shaadi aur hamila ke liye bachcha paidaish aur zaroorat mand ke liye zaroorat puri hone aur safar ke khwahishmand ke liye safar aur us main munafaat ke hasool aur kisi maqsad ke hasool ke taalib ke liye kamiyabi par dalaalat karta hai.

32. kunwein ke paani ka khatam hona aur neeche chala jaana kufar o shirk ki taraf ishara hai.

33. basa awqaat kunwan dekhne ki taabeer deeni amoor main shak o reeb se ki jaati hai.

34. kisi ne khwab main khud ko kunwein ki taraf dekhte hue dekha toh taabeerye hai ki woh kisi aurat ke maamle main mustafir hoga.

35. kisi ne dekha ki us ka kunwan ghat gaya toh taabeer ye hai ki us ki beewee agar mareeza hai toh woh marz se sahatyab ho jayegi.

36. kunwein ki dalaalat basa awaqaat logon ko nafaa pahunchne, un ke maamlat main sai karne aur deeni aur duniyawi maamlat main un ki madad karne wale par bhi hoti hai.

37. khwab dekha ki kunwein se wazu ke liye paani nikal raha hai toh daleel hai ki woh allah taala ke deen par amal karne wale momin mard se madad talab karega. chunancha agar wazu mukammal ho toh deen, ilm aur mareez ke liye shaafi hone ki daleel hai.

38. aur kabhi us ki dalaalat beewee aur kaseer ul kalaam ladke par bhi hoti hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!