islam
khwab mein kunwara pan dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ne kunwari aurat se nikah kiya hai daleel hai ki maale haraam paega, aur kunwari aurat nahin hai aur khwab main dekhe ki kunwari hai toh ye us shakhs ke satar aur parsa hone par daleel hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar mard khwab main dekhe ki us ko kunwari aurat mili hai daleel hai ki usi saal kunwari aurat karega ya kaneez khareedega.
kunwari
1. kisi sahibe mansab ka khwab main kunwari ladki dekhna us keliye tangi ki alaamat hai jesa ki tang doston ke liye aurat dekhna kashadagi ki daleel hai.
2. kabhi kunwari ki dalaalat kunwari oontni par hoti hai.
3. aur kabhi khwab main kunwari ladki dekhna zameen ki zar kheezi ki taraf masheer hai aur yahi khwab nai makaan ki takmeel aur kabhi kapde milne ki alaamat hai.
4. aur kabhi us ki dalaalat balakal nai kitaab par aur kabhi ayese phulon par hoti hai jo abhi na chune gaye hon.
5. aur kabhi us ka atlaaq sarkash ghode par hota hai.
6. kabhi bakar ki dalaalat alfaaz ke ashtarak ki bina apr karb aur makaan ke mushkil hone par hoti hai.
7. aur badshah ke liye kunwari ki ruiyyat hasan ki alaamat hai.
8. khwab main kunwari ladki milna jaaidaad ka maalik banne ya nafaa bakhsh tijarat karne par dalaalat karta hai.