Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein kursi dekhna


1. khwab main kursi badshah ki taraf se milne wale martaba o bulandi ki alaamat hai ya phir aurat ki alaamat hai.

2. agar dekhe ki kursi lohe ki hai toh waqt aur kamiyabi ki daleel hai.

3. agar woh lakdi ki hai toh us ke bar aks nifaaq ki alaamat hai.

4. agar kisi ne dekha ki woh kursi par bhetha hua hai toh woh kisi wakeel ya wasi hoga agar woh badshahat o hukumrani ki salahiyat rakhta hai toh us auhde par faaiz hoga aur wilayat aur bulandi payega agar woh ghaaib hai toh ghar laut aayega aur us ki muraad puri hogi.

5. agar kisi ne dekha ki woh kursi ya chaar pai par betha hua hai aur us ke upar kapda hai toh daleel hai us ko ilm haasil hoga aur jaldi bhalai haasil hogi aur tezi se neki haasil hogi aur us ko ghairat aur bulandi milegi aur kursi buland mansab walon ke liye alu martaba ki daleel hai aur jawaz aulaad achhi rihaaishga hon chaupaeyon aur libas par hbi dalaalat karti hai.


6. agar kisi ne dekha ki us ko kursi mil gai aur woh uspar beth gaya toh daleel hai ki us ko badshahat milegi ya kisi aurat se shaadi karega kursi ke shakal o soorat ke aatbaar se us main husn hoga baaz ne kaha ki agar us ki beewi hamila hai toh ladka hoga baaz ne kaha ki us ko shahadat ki maut naseeb hogi.

7. agar kisi ne khwab main apni kursi ko todh diya toh ye us ki maut ki daleel hai ya us ki beewi ki maut ki alaamat hai us ki beewi ki judaai ya us ke martaba ki girne ya quwat main kami ki alaamat hai kursi par bethne wale ke liye jald milne wali khushi aur martaba ki daleel hai kursi par bethne wale ke liye kursi aakhirat main us ki khubsoorat aur us ki bulandi aur jiddat ke baqadar kamiyabi ki daleel hai aur beemar ke liye achha nahin hai kisi haamila aurat ka kursi par bethna ishara hai ki us ke bachcha janne ke waqt daai us ke paas buland kursi par bethegi.

8. kursi par bethne ki haalat main apne sar main taaj dekhna baita toh lad hone ki bashsarat hai aur sar par koi jaal ya talwar waghaira ka dekhna beti ki paidaaish ki taraf ishara hai.

9. ahle ilm ke liye allah taala ki kursi ko dekhna buland darjaat aur munasib aaliya par faaiz hone ki daleel hai.

10. agar koi shakhs khaas kursi ko mukammal sifaat ke saath mutsif dekhe toh kabhi us ki dalaalat haamila ke liye hamal ki shiddat se khulasi aur ghiar matzuj ke liye tajwij ke liye aulaad par bhi hoti hai aur kabhi safar par bhi dalaalat karti hai aur mareez ke liye murdon ke chaar paai par mahmool hone ya kisi sawari par sawar hone ya kisi ghar main rahne par dalaalat karti hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!