Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Laq Laq dekhna


Laq laq (ek parinda hai.)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main laq laq bahasabo nasab aazaad aur aaqibat andeesh mard hai agar dekhe ki us ne laq laq pakdha hai ya us ko kisi ne diya hai daleel hai ki us ki mazkurah baala sifat ke aadmi se suhabat hogi aur agar dekhe ki us ne laq laq ko maara hai daleel hai badh dushman us ke haath se halaaq hoga aur agar dekhe ki laq laq us ke saath batain karta hai daleel hai ki ayesa kaam karega jis par log taazub karenge aur usko kisi badhe aadmi se munafaat haasil hogi aur agar dekhe ki laq laq us ke chaubare par betha hai daleel hai ki koi sardaar us ke ghar main aayega aur agar dekhe ki laq laq us ke haath se udha hai daleel hai ki dahkaan mard ki suhabat se juda hoga aur agar koi sardaar us ki usne laq laq ka gosht khaya hai daleel hai ki usi qadar kisi dahkaan se maal haasil karega.


hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya ki khwab main laq laq chaar wajah par hai.

1. mard dahkan 2. badshah zaeef 3. paasbaan 4. musaafir aur darweesh.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!