Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Looota dekhna

Hazrat ibn seereen rahamtullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main taanbe ya bhart ka loota khadim hai aur agar mitti ka bana hai daleel hai ki us ko loote ki khubi ke mutabiq kaneez haasil hogi aur agar dekhe ki loote se paani peena hai daeel hai ki baandi se jamaa karega aur agar dekhe ki loota toota hai daleel hai ki us ki londi marega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main loota maal aur nemat hai agar dekhe ki us ke paas sone ya chandi ka loota hai toh hasabe munashib us ko maal milega lekin us main tohmat hogi aur agar dekhe ki us ke paas seese ya qali ka loota hai toh maal aur nemat par daleel hai.


hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main loota nou wajah par hai 1. aurat 2. khadim 3. kaneez 4. deen ka qayaam 5. jism ki durusti 6. umardarazi 7. maal 8. kher o barkat 9. aurton ki meeras aur kuza lotane wale ko baradah kahate hain aur us ki taaweel sardari aur ameerzadi hai.

1. gunahgar shakhs ka khwab main abreeq dekhna gunahon se tauba ki alaamat hai.

2. haamila aurat ka abreeq dekhna bete ki paidaish ki daleel hai.

3. aur loota dekhne ki taabeer asardar par nighah rakhne wale bete se ki jaati hai.

4. khwab main bahut se loote jama karna ayese aamaal ki daleel hai jo dakhul jannat ke mojab hon.

5. abreeq ki taabeer talwar se bhi ki jaati hai isliye ke talwar ke naamon main abreeq ka lafz bhi hai.

6. khwab main us ki qeemat zyada hona un logon ke rafa manzilat ki nishani hai jin par ye dalaalat karti hai.

7. abreeq khel kud hansne aur qahqahe marne par bhi dalaalat karta hai aur usi ke mashaba ghar main istemal hone wale dusre bartanon ki bhi yahi taabeer hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!