Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Satar (parda) dekhna


1. us ko khawb main dekhna kaamon ke chhapne par dalaalat karta hai aur baaz dafaa ye kisi ayese dost par bhi dalaalat karta hai jo us ke raazon ko chhupane wala ho aur beewee par dalaalat karta hai jo ki aadmi ki haalat ko chhupati hai aur use dusri auraton ki taraf dekhne se bachati hai, aur woh maalam ho toh ye us shakhs ke buland martaba wala hone par dalaalat karti hai ki jin ka zikra kiya gaya maslan beewee, beteeya ghar par

2. naamaalum parda, dekhne wale ke liye gham par dalaalat karta hai

3. agar use dukan ke darwaza par latakna dekhe toh ye maasheeyat main gham laahuq hone par dalaalat karta hai.

4. agar woh ghar ke darwaze par laga hua toh ye duniya ki taraf se ghamon par dalaalat karta hai.

5. purana parda us gham par dalaalat karta hai jo hamesha nahin rahta.

6. jis ne phata hua parda dekha toh woh khush hoga aur khushi paega aur saya prada maal ki taraf gham laahuq hone ki alaamat hai.

7. masjid ke darwaza parda deen main kisi gham par dalaalat karta hai.


8. koi maaruf parda jese woh baayena khwab main dekhe woh na faayeda deta hai na nuqsaan pahunchata hai.

9. parda ka apni jagah na hona gham laahuq par dalaalat karta hai.

10. agar apni jagah par ho toh us ki koi bhi taaweel nahin hoti.

11. jis ne parda dekha lekin woh apni jagah par na tha aur na kisi dakhil hone ki jagah par dekha ya kisi aam jagah par dekha toh ye sakht gham aur khauf par dalaalat karta hai taham us ka anjaam aafiyat ke saath hoga toh jitna mota aur kamzor hoga toh woh utna hi qawi aur sakht hoga aur jitna woh patla hoga toh woh untna aur zaeef hoga.

12. agar us ne dekha ki parda kat gaya ya use koi le gaya toh uske zahan se gham aur hazan aur pareshani khatam hogi, aur parda ke baare main kaha gaya.

13. agar use koi kunwara aadmi dekhe toh woh ayesi aurat se shaadi karega jo us ko maafi fiqra aur haazajt se bachayegi koi bewa ye khwab dekhe toh us ki bhi yahi taabeer hai.

14. ghar ke darwaze par parda ka hona aurton ki taraf se gham laahuq hone par dalaalat karta hai.

15. purana parda jald zaayel hone wale gham par dalaalat karta hai.

16. naya parda lambi museebat par dalaalat karta hai.

17. woh parda jo lambaie ki taraf phata hua jo jaldi khushi par dalaalat karta hai.

18. woh parda jo chodhaye main phata hua ho dekhne wale ke araz ke phatan par dalaalat karta hai.

19. kaala parda badshah ki taraf gham pahunchne par dalaalat karta hai.

20. safed aur sabz parda anjaam ke achha hone ki alaamat hai.

21. agar matloob ya dare hue shakhs ya maghroor shakhs ne charpaaie par parda dekha toh ye us ke naam par parda padhne par aur us ke liye aman par dalaalat karta hai aur jitna woh parda badha hoga utna hi us ka gham aur khauf badha zyada aur qabeeh hoga.

22. woh parda jo kisi haal ya kisi mahal ke saamne litaya jaata hai jis ne dekha ki woh usi se lapta hua hai woh lmba safar karega aur us safar main bahut zyada thakega aur parde kisi bekaaro saat ki wajah se asbaab ke kasheer aur azeem hone, haalaat ke maatazar hone par dalaalat karte hain aur baaz dafaa parde ko posheeda rakhne par bhi dalaalat karte hain aur un ko kholna beizzati aur zillat par daal hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!