islam
khwab mein Shaakh (tahni) dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shaakhon ka dekhna sahibe khwab ke bhaiyon aur farzandon aur khaweeson par daleel hai. aur agar dekhe ki darakhton ki shaakhein bahut aur ghani hain daleel hai ki us ke khaweesh aur ahale bait bahut honge aur agar us ke khilaaf dekhe toh taaweel bhi khilaf hai aur agar dekhe ki apne darkhat se shaakh kaati hai daleel hai ki apne ahale bait se kisi ko juda karega. aur agar dekhe ki us ke darakht ki shaakh khushk ho gai hai daleel hai ki us ke khaweeson se koi halaak hoga aur agar dekhe ki darakht dusron ki milk hai toh taaweel hai toh dusron ki taraf ruju karegi.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ne darakht kharma ki shaakh pai hai ya kisi ne us ko di hai daleel hai ki us ke haan farzand ayega aur agar dekhe ki us ne shaakh par se kuch khaaya hai daleel hai ki usi qadar farzand ka maal khayega.