islam
khwab mein Shahar dekhna
1. khwab main shahron main kisi shahar main dakhil hona bekhauf hone ki daleel hai. ibn seereen rahmatullah alayeh shahar main dakhila ko pasand karte the aur kharuj ko napasand karte the is liye ki allah taala ka irshaad hai “yaani pas musa alayeh salaam wahan se nikal gaye aur wahshat ki haalat main aur ye kahne lage ki aye mere parwardigar mujh ko un zaalim logon se bacha lijiye” baaz kahte hain ki shahar ki taabeer aalim aadmi se bhi ki jaati hai, kyon ki huzur sallallahu alayehi wasallam ka irshad hai “main ilm ka shahar hun aur ali radi allahu anha us ke darwaza hain”
2. khwab main shahar main dakhil ho kar usko weeran dekhna us shahar se ulmaa ke napaid hone ki daleel hai. baaz kahte hain ki shahar us shahar, ke haakim ki maut hai ya us ka us shahar main zulm karna hai.
3. khwab main kisi bhi shahar ko haakim ke bager dekhna ghalla ke mahnga hone ki daleel hai.
4. maalum o maaruf shahar ki taabeer duniya hai.
5. aur na maalum shahar ki taabeer aakhirat hai.
6. khwab main shahar ko munhaddam dekhna us ke ahliyaat ke deen o mazhab khatam hone par dalaalat karta hai, aur insaan ka woh shahar jis ki taraf woh mansoob hai us ke walid ki daleel hai.
7. jo dekhe ki shahar zalzalon se weeran hua hai toh uske walid maqbool honge.
8. aur jo dekhe ki shahar saeed main hai toh us ki zindagi tang hogi aur mahrum hoga ya us ki amaanat zyada hogi.
9. khwab main khud ko kisi shahar main dekhna nemat se nawaze jaane ki daleel hai.
10. jo dekhe ki woh habsha ke shahar o ilaaqe main hai toh daleel hai hyebat o ruaab kam hoga.
11. jo dekhe ki woh misra main hai toh allah taala us ki zindagi khushgawar aur achhi bana deinge aur us ki umar taweel farma deinge
12. jo dekhe ki woh arsh ke shahro mulk main hai toh ye kasrate kher ki daleel hai.
13. jo dekhe ki woh qustutuniya main hai toh ye maali khasara ki alaamat hai.
14. aur jo dekhe ki woh quddus ke ilaaqa aur ture seena ke pahadh main hai khushhali hogi, toh sakhti zyada hogi magar deen main quwwat aayegi.
15. jo dekhe ki woh balade mushriq main hai toh use kher haasil hogi.
16. aur jo dekhe us ne baghdaad ko saamne se dekha hai toh woh haakim ke paas aayega, kyon ki baghdaad imaam ka ghar hai aur jo dekhe ki woh ardan main hai toh safar ya zillat hogi.
17. jo khud ko mushriq main dekhe toh allah taala us ko rizaq ataa farmayege.
18. jo apne aap ko khwab main balade rum main dekhe toh allah taala par aatmaad bharosa karne wala hai, balade arman ki bhi yahi taabeer hai.
19. jo dekhe ki woh angrezon ke ilaaqe ya mulk main hai toh daleel hai baseerat khatam hogi.
20. jo dekhe ki woh balade aajam main hai toh behayai seekhega.
21. aur jo khud ko balade hind main dekhe toh dushman par ghalba aur haasideen par kaamiyabi milegi.
22. jo dekhe ki woh weeran wa be aabaad jagah main hai toh ayesi qaum ke saath mubtala hoga jin ke saath muqabla ki us main taaqat nahin hogi.
23. jo dekhe ki woh namak ki kaan main ya gandhak ki jagah main hai, toh woh beemar hoga ki balad (shahar) qasba ki bhi daleel hai, jesa ki alla taala ka irshaad hai “(albalad) yaani main us shahar ki qasam khata hun, shahar khauf se aman ki daleel hai.
24. khwab main shahar dekhna touba wa maghfirat ki bhi alaamat hai, aqleem dekhna us ke waali wa haakim wa sultan ya us ke aalim ki daleel hai.
25. agar khwab main insaan shahar ka maalik hua ho toh mulk wa wilaayat haasil hogi, agar ghair shaadi shuda hai toh shaadi hogi, beemar hai toh tandrust hogi, faasiq hai toh taayeb hoga, gumrah hai toh hidaayat milegi.
26. agar khwab main koi murda kisi shahar main dekha gaya hai toh mumkin hai ki woh murda jannat main ho, jesa ki agar murda kisi dyhaat main dekha jaaye toh ye us ke jahnnam main hone ki daleel hota hai, kyon ki dyhaati log taab wa shaqaawat ka shikaar hote hain.
27. agar kisi shahar ka achha naam ho jese shahar zafaye toh ye sanaat kari ki daleel hai, ya shahar zafaar dushman par zafaryabi ki alaamat hai, aur shahar sar sarur ki daleel hai.
28. agar baagiya se nikla hai toh zulm wa chhodhega.
29. mashhoor shahar ke darwaze us shahar ke ahkaam matauli aur pahredaaron par dalaalat karte hain.
30. jo dekhe ki woh kisi na maalum shahar main hai toh ye nek logon ki alaamat hai.
31. jo khwab main shahar ki faseel gari hui dekhe toh us ka gavarnar wafaat paega ya apne auhde se maajul hoga
32. khwab dekha goya ki shahar ki faseel main rakhna aur shikaar padh gaya hai hati ki phir us shahar main ya sylaab ya chor daku ko dakhil ho gaye hain toh us shahar main islaam ka hukam kamzor hoga ya ilm ka bazaar weeran aur ujdhega.