Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Shal Hona

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki jism shal ho gaya hai aur ghar ke goshe main gir pada hai aur utha nahin sakta hai daleel hai ki bure kaamon se tauba karega aur agar sahibe khwab mufsid hai toh us ki taaweel awwal ke khilaaf hai.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ii us ka azu aazaa main se khasta ho gaya hai daleel hai ki us ke khaweesh ko jo us se nisbat rakhta hai aafat pahunchegi.


shalal (shal hona)

1. jis shakhs ne dekha ki us ke donon haath shal ho gaye hain toh daleel hai ki us se gunah azeem ka irtaqab hoga.

2. agar dekha ki daayan haath shal hua hai toh daleel hai ki woh be gunah ko marega. aur zaeef par sitam dhayega.

3. agar bayan haath shal hua hai toh us ka bhai ya bahan fout hogi.

4. agar dekha ki anghuta sookh gaya hai toh daleel hia ki bete ki taraf se takleef pahunchegi.

5. agar shahadat ki ungli sookh gai toh bahan ki taraf se takleef pahuch jaayegi.

6. agar badhi ungli khushk ho gai toh bhai.

7. agar chhanguliya sookh gai toh apni beti.

8. agar chhanguliya ki barabar wali ungli sookh gai toh apni maan ya ahal khana se takleef pahunchega. baaz maarbeen ne farmaya ki haath main aafat daleel hai bhaiyon par museebat aane ki, aur anguliyon main naqs, bhaiyon ki aulaad main kisi par museebat ke aan padhne ki daleel hai. baaz hazraat ne farmaya ki jis ne dekha ki us ka daayan haath shal ho gaya hai toh daleel hai us ka rozgar jaata rahega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!