Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Shama dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shama daulat hai aur izzat iar martaba aur aeesh o nemat ki farakhi hai agar khwab main dekhe ki us ke paas roshan shama hai daleel hai ki sahibe khwab ki daulat aur nemat zyada hogi. aur agar dekhe ki shama roshan kar ke apne ghar main rakhi hoti hai aur tamaam ghar us se roshan hai daleel hai ki us saal main us par nemat farakhi hogi aur us ki tijaarat jaari hogi aur baaz ahal taabeer ne farmaya hai ki us ki aurat ba jamaal aur khubsoorat hogi. aur agar dekhe ki us ko kisi ne shama roshan kar ke di hai. daleel hai ki izzat aur doulat paega aur agar dekhe ki us ke paas shama chandi ke shama daan ke saath hai daleel hai ki nek asal ki aurat paega aur agar dekhe ki shama daan sone ka hai daleel hai ki shaahi khandan se aurat karega aur agar shama daan qalee daan qalee ka dekhe toh daleel hai ki matwast darje ke qabeele se aurat karega aur agar dekhe ki shama daan taanbe ka hai daleel hai ki be asal aurat karega. aur agar dekhe ki shama daan peetal ka hai daleel hai ki badhon ke asal se aurat karega aur agar dekhe ki shama daan lohe ka hai. daleel hai ki mazboot asal ki aurat karega aur agard dekhe ki shama daan mitti ka hai daleel hai ki aam logon main se kisi aurat ke saath shaadi karega.


hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ke haath par rakhi hai aur achanak gul ho gai hai daleel hai ki us ki aurat maregi. aur agar dekhe ki roshan shama us ke haath main hai aur kisi ne us ko bujhaya hai. daleel hai ki us par koi shakhs hasad karega aur agar dekhe ki shama ki roshni kam hui hai daleel hai ki us ki izzat aur martaba kam hoga.

hazrat daniyal alayeh alsalam ne farmaya hai ki agar dekhe ki roshan shama us ke haath main hai daleel hai ki agar aurat rakhta hai toh us ke ladka paida hoga. aur agar kisi shahar main bahut si shamaein roshan dekhe daleel hai ki wahan ka badshah aadil aur munafaa hoga aur qazi munafaa aur zahid danishmand hai aur us shahar main bahut khushi hogi aur agar masjid main bahut si shamaein dekhe daleel hai ki wahan ke log ibadat aur tahseel ilm main puri tarah se mashghul honge.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main shama ka dekhna terah wajah par hai. 1. badshah 2. qazi 3. farzand 4. dulhan 5. hukumat 6. sardari 7. sarai 8. shaadi 9. tawangri 10. ilm 11. kaneez 12. aurat 13. dekhne wale apr daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!