islam
khwab mein Tabbaq dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main tabaaq khadim hai ki shaadi ke waqt majlis ki khidmat karta hai aur jo koi us ko dekhta hai khush hota hai aur agar dekhe ki us ke paas bahut badha thaal hai daleel hai ki usi qism ka khadim haasil karega aur agar dekhe ki tabaaq toot gaya hai daleel hai ki sahibe khwab ka khadim marega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alyeh ne faramay hai ki agar dekhe ki tabaaq aag main badha hai aur jal gaya hai daleel hai ki us ki kaneez khidmatgar beemar hoga aur taawun ya sar saam main mubtala hoga.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main tabaaq ka dekhna chaar wajah par hai 1. ghar ka khadim aur majlis, 2. kaneej, 3. faaida, 4. hadiya.