Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Gussa Karna

Ghusl kardan (nahana)

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi khwab main dekhe ki us ne darya main ghusl kiya hai daleel hai ki us ka gham wa andwa kam hoga aur agar beemar hai toh shifa aur sahat paega aur agar qarzdar hai toh qarz se sarkhud hoga aur khauf se aman main rahega aur qaidi hai toh khulasi paega. aur agar dekhe ki thode paani main ghusl kiya hai aur haath dhoya hai daleel hai ki kher o munafaat paega aur agar dekhe ki haath ko paani aur baji se dhoya hai agar dost rakhta hai toh us ki un se juda hone par daleel hai aur agar dekhe ki us ne ghusl janabat kiya hai daleel hai us ka kaam khatam hoga.


hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main janabat se ghusal karna daleel hai ki jhoot se pak hoga aur jo zyadati aur nuqsan janabat ke ghusal se zahir hoga jhoote deen par daleel hai.

ghazab (ghussa karna)

1. khwab main baaz aur ghusse ki haalat ka hona qaid hone par dalaalat karta hai.

2. agar koi khwab main dekhe ki woh apne ghar se ghusse ki haalat main nikla hai toh daleel hai ki use qaid main daala jaayega.

3. khwab main agar koi dekhe ki us ke dil main bughz dena ki wajah se hai toh ye ishara hai ki woh allah taala ke deen ko khafeef samjhata hai.

4. aur agar us ka bughz allah taala ki wajah se hai toh ye alaamat hai ki use quwat aur wilayat haasil hogi.

5. khwab main agar ghyez baghair wajah ho toh ye achanak maut hai basawaqat khwab main gussa ke waqat haalat badal jaati hai.

6. agar koi khwab main apne aap ko kisi insan par ghussa karta dekhe toh ye alaamat hai ki us ka maamla us par ulta ho jaayega aur us ka maal bhi us ke haath se chala jayega. farman khudawandi hai. “lautadenge allah taala ka kafiron ko un ke ghyez ke sabab bhalai nahin paeinge khwab main ghussa zaroor tamandi aur maal ke zaaya hone par bhi dalaalat hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!