Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Toota dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main toota farzand ya ghulam hai agar koi khwab main dekhe ki us ke haath se toota udha hai daleel hai ki us ka farzand ya ghulam safar ko jaaye. aur agar dekhe ki toota us ke saath batein karta hai daleel hai ki ayesi baat ya kaam karega ki jis se log taajjub karega aur maada toota do sheeja laki hai aur zamar deen rang ka toota deen ki paki par daleel hai ya paarsa ghulam hoga. aur agar dekhe ki us ne maada toote ko maara hai daleel hai ki kunwari aurat se shaadi karega aur agar dekhe ki us ke muh ya moaad se toota nikla hai daleel hai ki us ke farzand hoga jo us ki shaan main buri baatein kaha karega.


hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main toota dekhna teen wajah par hai 1. farzand aur ghulam 2. kunwari ladki 3. parsa shagird.

babgha (toota)

1. toota chaupaya faroosh, zaalim aur chhote ki alaamat hai.

2. baaz ne kaha ki toota ki taabeer falsafi aadmi se aur us ke choose ki taabeer walad falsafi se ki jaati hai.

3. kabhi toota kaseer al harkat aurat par dalaalat karta hai au kabhi us ka atlaaq walad par hota hai.

4. kabhi toota aazmi aurat par dalaalat karta hai.

5. basa awaqaat us ki dalaalat sakhti marne wala mutakabbir aur be barkat aadmi par hoti hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!