Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Sang E Mar Mar Dekhna

Rakham (sange mar mar)

1. ye khwab main izzato qudrat ki bulandi, maal, beeveeyan, ghulam aur bandiyon par dalaalat karta hai.

2. agar kisi ne apne paas khwab main dekha toh woh faqar ke baad maaldar hoga aur shaadi karega ya alaamat hai ki qaid hoga ya ghulam aur tijaarati maal kharidega ya ilm, nazmo nashra aur nek aulad haasil karega agar bedari main woh us ka ahal ho ya apni hesiyat ke mutaabiq koi umda auhada hasil karega.

3. baaqi jo cheezen sange mar mar se paye jaati hain jese chhote moti, hoz, wuzu ki jagah aur aeyse janwar ki shakal ki jin ke muh se paani nikal raha ho, haal, satoon aur chaukhat toh un sab ke sab ka jo maalik ho ya uska jaaye ya woh us main koi tassruf kare toh ye ghamon aur pareshaniyon ke zawal, khushiyon aur mussraton aur achhi aulad, khubsoorat auraton, unchein gharon aur achhe rizaq ki nishaniyan hain.


4. baaqi sange mar mar ki qabrain aur munaqqash satoon ye achhi aakhirat, achhi shoharat, humesha ke khushgawar waqieat par daleel hai

5. aur baaz main jadhe hue sange mar mar khubsoorat likhaye, mahange mohron se shaadiyon par dalaalat karte hain illaa ye ki sange mar mar zyada ho jaaye ya un main koi esi baat ho jo us ke laayek na ho toh yle maalo manaal aur beevee main shahbaat par dalaalat karta hai.

6. baaqi sage mar mar ke baaon faaiyede, zindagi ke asbaab aur achhi shoharat par dalaalat karata hai.

7. aur sange mar mar ka tikka khubsoorat aurton aur achhe mansubon par dalaalat karta hai.

8. kabhi sange mar mar ka nishaan par guzrne waali kefiyat ko bhi zahir karta hai khwah woh kher ya shar ya us ke naam ke aks hai jo nikla us ka baar baar lotna.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!