islam
khwab mein Khaal dekhna
Jald satrah aur insaan ke tarkki par dalaalat karti hai.
1. kisi ne dekha ki bakri ki khaal ki tarah uski khaal utaari jaa rahi hai toh mareez ke liye ye khwab maut hai aur sahat mand ke liye faqeer hone aur museebat uthane ki alaamat hai.
2. yahi khwab badan main quwwat paida hone aur mota hone aur deen o imaan ki pukhtagi ki alaamat hai.
3. khwab dekha ki uska jism saanp ke jism ki tarh ho gaya toh daleel hai ki uske andar ki poshida dushmani zaahir hogi.
4. kisi ne dekha ki us ka ko kahe chhtre ki laat ki tarah ho gaye toh daleel hai uske haan talkh mizaaj beta paida hoga.
5. khwab main badan ka lohe ya thikri se tabdeel hona sahibe khwab ki maut par dalaalat karta hai.
6. khwab main badan ka nuqsaan ke baghair padhna zyadati nemat kid daleel hai.
7. kabhi khaal ki dalaalat insaan ki un cheezon par hoti hai jis ke zariye insaan apne aap ko chhupata hai jise libas, zawaja, rahen ki jagah, mahboob, walid waghaira aur kabhi ye khwab us cheez kpar bhi dalaalat karta hai jis ke zariye takleef dah cheez se apne aap ko bachaya jaata hai maslan badshah aur sardar, sarparast waghaira chunancha jisme insaan main khubsoorti paida ya quwat ka aa jaana mazkura afraad ke husne haal ki alaamat hoti hai aur usmein zaaf wa kamzori wa badboo dekhna mazkura logon ke ahwal main kamzori aane ki daleel hai.
8. khwab main badan ka khubsoorat andaaz se mota hona sahibe khwab ke darza ki bulandi aur dushmanon ke muqable main madad milne par dalaalat karta hai.
9. khaal ki taabeer bachao bhi hai.
10. aur khaal ki dalaalat mandarzah zail cheezon aur afraad par bhi hoti hai walid, hukumat, maal, libas, beewee, jaaidaad, aafiyat, beemari, imaan aur shirk waghaira.
11. kabhi jald ki dalaalat dushman aur chughalkhor dost par bhi hoti hai is liye ki qayamat ke din jald insaan ke khilaaf gawahi dega.
12. kabhi uski dalaalat sabar karne aur maamlaat main mazboot hone par bhi hoti hai.
13. khwab main apni jald ko bahtar haalat main dekhna kher wa raahat ke hasool aur beemari ke theek hone par bhi daal hai.
14. kisi ne khwab main murde ko khubsoorat haalat main dekha toh daleel hai woh jannat ki nematon se sarfaraz hai aur murde ki khaal bad numa shakal main dekhna uske mubtalaye azaab hone ki taraf ishara hota hai.
15. khwab main jald ka siyah hona tarake deen ki alaamat hai.
16. kisi ne dekha ki habshi aurtein (kaali aurtein) us par chadhaai kar rahi hai toh taabeer ye hai ki us ko kher kaseer haasil hogi magar kabhi un aurton ki dalaalat dushman par bhi hoti hai.
17. khwab main rang ka surkh hona wajahat aur khushali ki daleel hai baaz ulma ne kaha hai surkhi ba safedi sahibe izzat hone ki daleel hai.
18. kisi kaale aadmi ne khwab dekha ki woh safed ho gaya hai toh taabeer hai ki us ko kamzori aur zillat o mashakkat laa huq hogi.
19. kisi ne dekha ki us ka chahara aur jism surkh ho gaye toh daleel hai ki woh apne maqsad main kamiyabi se door hoga.
20. kisi ne dekha ki us ka jism lohe ya patthar ka ho gaya toh uske marne ki daleel hai.
21. tamaam hewaanat ki khaal taabeer meeras hai.
22. baaz ulmae taabeer ne kaha hai khwab main khaal ka maalik hona ghar ke maalik hone par dalaalat karta hai.
23. kisi ne khwab dekha ki badshah logon ki khaal utar raha hai toh daleel hai ki woh un par zulm karega aur logon ke amwal chinega.
24. khwab main kisi aalim ki khaal ka utar jaana tarke ilm ya insaan ilm par dalaalat karta hai.
25. kisi ne dekha ki woh kisi shaayari ki khaal utar raha hai toh daleel hai ki sahibe khwab us shaayar ke ashaar chori karega. kabhi khaal utrna qameez utarne ki aur hamaam main daakhil hone ki bhi alaamat hoti hai ya phir mabloos ke chori hone ki daleel hai kaali aurat ka apni khaal utarti hui dekhna andheri raat ke baad tulu shamsh ki daleel hai.