islam
khwab mein Lohe-mahfooz dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki lohe mahfooz aam taaweel main badiyanat shakhs hai hai jo apne maal ko rahe khuda main kharch karta hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki lohe mahfooz ki taaweel ilm aur hukumat aur quraan majeed hai agar dekhe ki lohe mahfooz choti aur haqeer hai daleel hai ki us ka haal bad hoga agar dekhe ki lohe mahfooz par kuch likhta hai daleel hai ki us ka kaam nek hoga aur agar dekhe ki lohe par chalta hai daleel hai ki us ka kisi bade badshah se kaam padega aur woh us main haakim hoga aur agar dekhe ki us ka naam lohe mahfooz par likha hua hai daleel hai ki us ki maut qareeb aai hai.
hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main lohe mahfooz ka dekhna chha wajah par hai 1. ziyarat 2. farzand 3. ilm 4. hidayat 5. hukumat 6. hikmat.