islam
Khawab me Aabnos Dekhna
Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me aabnos ko dekhne wala apne kaam me sakhat majbut hoga lekin maal-daar bakhel hoga – usse kisi ko faayeda nahi pahuchega.
Hazarat karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke aabnos ka khwab me dekhna usi sifat ki aurat hoti hai jo upar mard ki bayan ki gayi hai – hazarat jaafar saadik radi allah ta-ala anhu ne farmaya hai ke khwab me aabos ka dekhna gujashata tabeer rakhata hai.
Khwab me aabnos ka darakhat dekhana maal-daar hindustani aurat ki daleel hai.