Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Ganda peer (budha budhiya) dekhna


hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main budhiya aurat duniya hai aur mota budha musalman hai jo kapdon se aarasta hai. daleel hai ki maale halaal paega, aur agar khwab main dekhe ki mota budha myele kapdon main hai aur kafir hai. us ki taaweel maale haraam hai, aur budhi khubsoorat aur achhe kapdon wali aurat taaweel main ya jahan aur woh jahan hai. aur agar khwab main dekhe ki budhi aurat aur musalman se shaadi ki hai aur jaanta hai ki us ki mulk hai. daleel hai ki maale halaal karega. aur agar dekhe ki budhiya aurat hai us ko ghar se nikala hai ya talaaq di hai. daleel hai ki tarke duniya ko koshish karega, aur rahe aakhirat talaash karega, aur agar khwab main dekhe ki us ne moti budhiya aurat se jamaa kiya hai. daleel hai ki duniya ki muraad paega.

ajuz (budhiya)

1. khwab main budhiya aajiz hone hone ki daleel hai, kabhi us se duniyawi shaan o shokat ka khatma aur gham bhi muraad hote hain. kabhi budhiya ko dekhna aakhirat ko dekhna hai kyon ki ye duniya ki zid hai. kabhi us se sharab aur gaye bhi muraad hote hain ki ye duniya ki zid hai. kyon ki unhein bhi arab main ajuz (budhiya) kaha jaata hai. kabhi budhiya ko dekhna mayusi ke baad hamal hone ki daleel hai. kabhi us ki dalaalat makar o fareeb par bhi hoti hai.


2. mareez budhiya par aur pyasi budhiya qahat par dalaalat karti hai.

3. agar budhiya bachchi ban jaye toh zawal qahat ki daleel hai.

4. agar namaaulm budhiya kisi mareez par dakhil ho toh us ki wafat ka dar hai.

5. agar hamila ayesa dekhe toh us ke liye bahtari ki daleel hai.

6. agar kisi aham kaam main laga hua sakhs budhiya ko apne saath lete hue ya apna saathi dekhe toh woh apna kaam aur maqsad se aajiz hoga. budhiya banjar zameen par bhi dalaalat karti hai jis se koi paidawar na ho.

7. kharshi budhiya dekhna tangi aur nadamat ki alaamat hai. buri shakhal o soorat wali budhiya ko dekhna fitna aur ladai ko dekhna hai. kafir budhiya haraam maal jabki musalman budhiya khushi ke saath halaal maal hai.

8. agar koi aurat budhiya ban jaye toh use waqaar haasil hoga.

9. namaalum budhiya qahat saali ki daleel hai.

10. agar budhiya aasaaman se utre aur log us par taajjub karen toh ye bhi qahat saali hai. kabhi badshakal budhiya ladai aur qahat ke zawal ki basharat hai. laaghar budhiya bhi qahat saali alamat hai. agar woh moti jo jaaye aur khush shakhal ban jaaye toh qahat saali khatam ho jayegi. banao singhaar karne wali budhiya duniyawi basharat hai aur anqareeb use khushkhabri haasil hogi. gham ke saath duniya ka hasool aur zawal jah hai. badshakhal budhiya ek haalat se dusri haalat main tabdeeli hai. nangi budhiya duniyawi rasaai hai.agar dekhe ki budhiya ghar main daakhil hui toh duniya ke aane aur agar budhiya se nikale toh duniya ke jaane ki daleel hai. namaalum budhiya ki taabeer ba nisbat maalum budhiya ke zyada saheeh hoti hai. budhiya ke saath mil kar baham koshish karna duniya milne ki daleel hia.

11. agar ayesi budhiya dekhe jis se nikah ki shohrat khatam ho chuki ki us main nikah ki quwat laut aai aur us ne nikah kar liya toh use deen aur duniya donon haasil hongi. agar nikah halaal ho aur agar haraam toh se sirf duniya haasil hogi.

12. agar koi aurat khud ko budhiya bane dekhe toh duniyawi bhalai pane ki daleel hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!