islam
khawab main Tool,lamba Hona
1. khwab main lamba hona ilm aur maal main zyadati ki alaamat hai agar hukumran ye khwab dekhe toh daleel hai us ki hukumat mazboot ho jayegi aur us ki seerat achhi hogi.
2. agar tajir dekhe apni tijarat main munafa kamayega.
3. kisi ne dekha goya us ka qad aam maamul se badh gaya hai toh taabeer hai woh apne martabe se gir gaya aur us ka ajal qareeb aa gaya hai.
4. badshah ka khwab main apne qad ko lamba dekhna us ki hukumat ke taweel ul muddat hone aur apne dushmanon ke muqable main mazboot hone par dalaalat karta hai aur kisi mulk ka taalib hai toh us ko haasil karega aur kabhi taule qaamat taule hayaat par dalaalat karta hai lekin had se badh kar taweel hona daleele maut hai.
5. usi tarah had se zyada qaseer hona bhi marne ki alaamat hai is liye ki us ka qadar zameen ke qareeb ho gaya.
6. aur qaseer ul badan ki qaamat ka khwab main taweel ul qaamat hona fitne par dalaalat karta hai aur kabhi ye khwab bukhal par bhi dalaalat karta hai.
7. taweel qaamat ka khwab main qaseer ul qaamat hona taabeer ke aetbaar se koi achha nahin hai is liye ki ye apne martabe se girne aur quwat maut ke qareeb aane par dalaalat karta hai.