Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein geedar dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki geedar ki talab main phirta hai aur heraan hai aur pakad nahin sakta hai daleel hai ki beemar hoga aur agar dekhe ki geedar us ke saath khelta hai ki kisi aurat par aashiq hoga aur agar dekhe ki geedar ka gosht khata hai daleel hai ki beemar hoga aur shifa payega agar qarz daar hai toh us ka qarz adaa hoga aur geedar ke baal aur chamda aur haddi sab kuch khwab main maal hai.


1. us ki dalaalat ayese shakhs par hoti hai jo logon ko un ka huq dene se rukta hai.

2. aur kabhi us ki dalaalat shar aur jhagde par asraar karne wale shakhs par hoti hai.

3. aur kabhi us ki taabeer lahu laab ke ijmata par aur kabhi ulfat par bhi hoti hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!