islam
khwab mein Jawaharat Ka Dabba (haqa)
Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke dabbiya khwab me aurat ya kanij hai- aur agar dekhe ke us ke paas nayi dabbiya hai- ya us ne kharidi hai ya kisi ne us ko di hai to daleel hai ke aurat karega ya kanij kharidega agar dekhe ke dabbiya tuti hai ya saaf ho gayi hai to daleel hai usse aurat juda hogi.
Hazarat jabeer magribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar dekhe ke us ke paas bada dabba naksh daar hai- to daleel hai ke maaldar aurat karega aur us se naf-aa payega- aur agar us ke khilaf dekhe to daleel hai ke badsurat aur darwesh aurat se shaadi karega.