Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Kaam Karne Wale dekhna


1. khwab main faal muhtajgi aur maldaari par dalaalat karta hai basa awqaat safar par, talab maash main tardad par aur ghair ke gham pesh aane wali mushkilat par sabar karne par dalaalat karta hai. faal ki ruiyyat basa awqaat kalaam ko jhoot se mazeen karne wale par dalaalat karti hai aur us shaks par bhi dalaalat karti hai jo halaal ko haraam ke saath mila deta hai. faal se ayese aadmi par bhi dalaalat muraad hai jo logon main se baaz par nafaa ki gharz se ubharne ke saath khud nafaa uthata hai ye us waqt hai ki us ne khud kuch na kiya ho aur agar kuch kiya toh us ka faal allah ke faal par daal hota hai.


2. faal ke upar ghubar ka hona faal ke liye ghubar ki baqadar nafaa haasil karne ki daleel hai.

3. agar ghubar nahin toh nafaa na uthane ki alaamat hai.

4. khwab main agar faal ko dekhe ki woh gharon aur deewaron ko ukhed kar baaz ko baaz ke saath mila raha hai toh us jagah ke logon main khauf waqe hoga ya woh quwat ho jayenge.

5. khwab main apne haath ke saath koi kaam karta dekhe mishaal ke taur parkudaal se khud raha hai toh us ka faal allah taala ke faal par daal hai chahe woh kher se mutaalik ho ya shar se khwab main bharosa kiye jaane wala aadmi us shakhs par dalaalat karta hai jo logon ko apni taraf khinchta hai aur har cheez main dakhal andazi karta hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!