Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Kanshat Yahudiyo ki ibadat khana Dekhana

Kanshat Yahudiyon ka ibaadat khana Dekhana

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhna ki kanshat main baitha hai aur qibla ki taraf namaz padhi hai daleel hai ki aakhir kaar tauba kar ke huq taala ki taraf ruju karega aur deen main qawi hoga kyon ki kanshat ibaadat ki jagah hai aur agar yahudiyon ke qibla ki taraf namaz padhe toh daleel hai ki yahudiyon se muhabbat rakhta hoga.


hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar apne aap ko kanshat main dekhe toh daleel hai ki be deen logon ki guftaar main kaam karega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kanshat aur girje ka dekhna maslah aadmi ke liye khair aur neki hai aur mufsid aadmi ke liye shar aur fasaad ki daleel hai.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!