Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein kapra frosh dekhna


1. kisi ne dekha ki woh khwab main kapda farokht kar raha hai lekin us ki qeemat o hasool nahin ki toh daleel hai ki woh bada azeem aadmi banega logon main us ki kaar kargi shohrat hogi aur logon par us ka ahsaan hoga. logon ko deeni wa duniyawi rahnumai karega.

2. agar dekhe ki woh kapda bech raha hai aur us ka dushman darahim ki soorat main wasool kar raha hai toh us ki taabeer bhi wahi hogi jo upar bayan hui hai lekin ye saare kaam riya ke liye honge aur ayesa kaam karega jis se saare aamaal ka ajar khatam hoga.


3. aur agar woh dushman deenar ki soorat main wasool kare toh taabeer ye hai ki woh ahsaan ka maamla bhi karega aur napasandeeda kaam bhi anjaam dega.

4. baaz ulmae taaweel ka kahna hai ki khwab main wazan karna rishwat aur taawaan ki nishani hai.

5. khwab main kapde ke taajis se mulaaqaat faqar ke baad ghuna aur rizaq ki daleel hai agar ghair shaadi shuda shakhs kapda farokht karne wale se khwab main mulaqaat kare toh taabeer ye hai ki woh shaadi karega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!