islam
khwab mein Keery dekhna
Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab dekhe ki us ke pait main bahut se kapde hain aur us ke pait main se khana khate hain daleel hai ki dusre ke ayaal kisi dusre ke maal se laana chahega aur agar dekhe ki lambe keede us ke jism par padhe hain aur us ke jism aur kapdon par bhi bahut se keede hain daleel hai ki maal aur ayaal aur daulat bahut si us ko haasil hogi aur agar dekhe ki apne jism se keede ko zameen par giraya hai daleel hai ki apne ayaal ko apne se door karega aur un ki khabar geeri na karega.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki us ke jism ka bahut saa hissa keedon ne khaya hai daleel hai ki us ke ayaal us ka maal khayenge aur agar dekhe ki keedon ne us ke jism ko kuch nuqsaan pahunchaya hai daleel hai ki us ko kunbe se nuqsaan aur zarar pahunchega aur agar dekhe ki us ke naak ya kaan ya muh ya pakhane ke soorakh se keede nikale hain daleel hai ki usi qadar us ka maal ya ayaal zyada hoga aur agar dekhe ki keede us ke jism se nikal kar mar rahe hain daleel hai ki us ke ayaal halaak honge ya us se juda honge aur agar dekhe ki bahut se keede us ke ghar waghaira ki chhat se girte hain daleel hai ki usi qadar us ko maal aur nokar haasil honge.
hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmay hai ki khwab main keedon ka dekhna teen wajah par hai 1. ayaal 2. nokar chakar 3. chaba hua maal.
khwab main kahar ka dekhana chaar wajah par hai 1. takhir 2. kaamon ka poshida hona 3. bidaat 4. gumrahi.
hazrat ismail ashaat rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki kahar se roshnai main aaya hai daleel hai ki roshni se tongri main aayega aur bidaat aur gumrahi se door hoga.
hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kahar ko dekhna achha nahin hai.
keeda
1. uski taabeer beti hai.
2. pait ke keedon ki dalaalat un rishtedaaron ke gham par hoti hai jo us ke zair kifayat rahte hon aur yahi taabeer un keedon ki hai jin ka rizaq jism insaan main hai.
3. usi tarah gosht khane wale keedon ki taabeer dusron ke maal par palne wale ahal o ayaal ke gham se ki jaati hai jo sahibe khwab ke jism ke saath mukhtalat na hon.
4. khwab main miqdaad ke raaste se keeda nikalta hiua dekhna ptoh main gham laahuq hone ki alaamat hai.
5. khwab main muh se keeda nikale toh ghar wale us ke khilaf saajish kar leinge jis ka bar waqt ilm ho jayega jis ke sabab woh sajishi se nuqsaan nahin pahuncha sakegi labtta sajish karne wale us ki kifayat se mahrum ho jayenge.
6. kisi ne dekha ki us ke pait se uske tasarruf ke baghair keeda nikal gaya toh shareer qism ki qaum se door rahega jis ke sabab use izzat o sharaf aur pakeezgi naseeb hogi.
7. kabhi badan se keeda nikalna gham door hone par bhi dalaalat karat hai is liye ki nuqsaan dah cheez nikal gai hai.
8. badan se pait nikalne ki taabeer zawal gham o hazan aur hasoole maal se ki jaati hai. baaz dafaa keede ki taabeer rishtedaaron main kisi dushman se ki jaati hai.
9. resham ke keede badshah ki riyaat ki alaamat hote hain.
10. taajir ke liye resham ke keede dekhna tijaarat main taawaan waqe hone ki alaamat hai aur kabhi us ki taabeer us ka hareef bhi hota hai.
11. khwab main resham ke keede ka hasool mazkur afraad se munfaat milne par dalaalat karta hai aur kabhi un ko dekhna maal milne ki nishani hai.
12. baaz ahal taabeer ki raaye hai ki resham ke keede maale haraam ki alaamat hain.
13. kwhab main kharab mozi aurat par dalaalat karti hai kyon ki log us se soot waghaira banwate hain aur naqis kaar kirdgi par bhi dalaalat karta hai kyon ki woh unko phenkte bhi hain khwab main keede makode jhagda al wa dushmani, haqeer nazar aainon alaa lekin sahkht taana wala.