Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein KekRa dekhna

Kharchang, kekda, khwab main kam himmat aadmi par daleel hai agar dekhe ki us ne kekda pakda hai toh daleel hai kisi kam himmat kameena ka masahib hoga aur us se thoda nafaa payega aur agar dekhe ki kekde ko maara ya door daala hai toh daleel hai ki bad khu aur kam himmat aadmi se juda hoga aur agar dekhe ki kekde ka gosht khaya hai daleel hai ki usi qadar maal use milega.


hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ke paas kekda hai toh daleel hai ki khush taba aadmi se dosti karega jo khush khu hoga aur us se neki dekhega.

1. us ko khwab main dekhna kisi makkar par hebat ba himmat kasrat aslah wale aadmi par dalaalat karta hai.

2. jis ne kekde ka gosht khaya toh woh kisi door ki zameen se kher payega aur kaha gaya ki jis ne kekde ko dekha toh woh haraam maal payega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!