islam
khwab mein Khaal Utarny Ki Jaga dekhna
1. khwab main buchad khana dekhne main koi kher nahin hai kyon ki buchad khana main jaanein nikali jaati hain aur jismon se khalein utari jaati hain aur khoon bahaya jaata hai qasab khana dekhna masarraton aur khushiyon ki bhi daleel hai is liye ye mazibah us ke liye maawin hai ya ahale zulm ke daur par daleel hai.
2. mareez ka qasab khana main aana us ke wafat paane par dalaalat karta hai.
3. tandrust aadmi ka us main aakar kisi gandi ghalazat se mulawwis hona takleef ya marz main mubtala hone ki daleel hai, zibah khana zulm o azaab ki daleel aur qaid khana ki alaamat hai.