Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Khaand Shakar/cheenee dekhna


1. us ko khwab main dekhna khushiyon, beemari se shifa aur ghamon aur pareshaniyon ke zaail hone aur muraad ke puri hone par dalaalat karta hai us ke liye khwab main us ko khaye ya us ka mulk ho. aur agar ye beewee par dalaalat kare toh woh badi maazaz aur haseen hogi aur agar bete par dalaalat kare toh woh bada maazaz, samajhdaar, aalim hoga aur har fann wale se us ke fann main shirkat karega, aur agar maal par dalaalat kare toh ye halaal aur taayeb hoga. aur agar ilm par dalaalat kare toh woh bidaat se khaalis hoga, aur shakar maal par dalaalat karti hai aur shakar ka ek daana mahboob par ya bachche par dalaalat karta hai aur bahut zyada shakar baaton par dalaalat karti hai, aur ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hain ki shakar bechne main koi bhalaai nahin hai.


2. naba taati shakar qaul aur amal main ikhlasi par dalaalat karti hai aur baaz dafaa amraaz ke uthne aur beemari se shifa par dalaalat karta hai aur baaz dafaa khushaali aur rizaq par naba taat ki taraf se ya baarish ke nazool par dalaalat karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!