islam
khwab mein Lakri Dekhna
Us ki dalaalat chugal khori par hoti hai.
1. kisi ne dekha ki us ne dau ya teen lakdiyan aag ke andar jalane ke arz se rakhein toh daleel hai ki us ilaaqe main ghalat baat phailegi aur badhti chali jayegi.
2. kisi ne deen se mansoob shakhs ka lakdiyan dekhna chori qatal zina jese gunahon main mubtala hone aur badshah tak baat pahuncha jane aur badshah ki taraf se us par had qaaim karne ki daleel hai.
3. aag jalana badshah tak pahunchne ki koshish karne ki taraf ishara hai.
4. khwab main lakdiyan uthana logon ki izzat ko daagh daar karne aur un ke baar main takleef daah kalaam karne ki daleel hai.
5. khwab main apne paas lakdiyan jama dekhna rizaq zaruriyat ke pura hone aur meeras milne par dalaalat karta hai ya waqf maamtal se maal milne ki alaamat hai.
6. apne paas ayesi jama shuda lakdiyan dekhna jo kaate baghair istemal nahin kar sakte toh mashakkat se haasil shuda maal ki ya shar ki daleel hai.
7. un lakdiyon ka jalane ya kaam ke liye tayyar hona aur kaatne ki zaroorat na hona badshah ki qurbat aur mushkil ke aasaan hone ki taraf ishara hota hai kabhi lakdi ki dalaalat kand zahabi aur maale maujood par bukhal karne par hoti hai is liye bakhil aur kand zahan ko ahal arab falaan hasab kahte hain.
8. lakdiyon ki ghadi mukhtalif ala nawaa maal par dalaalat karti hai.
9. kisi mazboot aadmi ka apne paas lakdiyon ki ghadi pana kisi bade azeem aadmi ki khidmat karne ki alaamat hai.
10. mareez ke liye khwab main lakdiyan jama karna marz ka ilaaj karne aur sahat yaab hone ki taraf ishara hai.
11. kisi phal daar darakht ki lakdi us phal se haasil shuda maal main fasaad waqe hone par dalaalat karti hai.
12. aag jalane ke liye lakdiyon ko aage karna allah taala ke muqarrab hone ya bachche ko adab sikhane ke liye kisi maudab ke paas le jaane ya maqrooz ko haakim ke saamne paish karne ya kisi mareez ko tabeeb ke paas le jaane par dalaalat karta hai.
13. lakdiyon ko qareeb karne se pahle aag ka bhadak jana bachche ki kamiyabi aur maqrooz se qarz ki wasuli main kamiyabi hai.
14. khwab main lakdi khana haraam maal khane ya lakdi se maara jaane ki alaamat hai.
15. agar koi kashti wala shakhs khwab main apni kashti ko ya aam lakdiyon ko jalte dekhe toh ye us ki kashti ke gharq hone ki daleel hai.
16. chhili aur tarashi hui lakdi apahij hone aur harkat na kar sakne ki alaamat hai.
17. gosht waghaira bhunne ke liye lakdi ka kanta ya dahleez ke darwaze ke oopar rakhne ke liye tarashna fawaid aur maash ke husool ki daleel hai jabki barabar tayyar ho agar barabar na ho toh beewi ke apahij hone ya fawaid waghaira ke matatil hone ki alaamat hai.
18. uski taabeer nifaaq se ki jaati hai.
19. baaz ulma e taabeer ka kahna hai ki lakdi ki dalaalat ayese shakhs par hoti hai ki jis ke deen ke saath nifaaq ki aameejish ho aur us ka zaahir baatin se behtar hai.
20. geeli lakdi ki taabeer bachchon se ki jaati hai kashti par sawar hazraat ke liye lakdi dekhna kashti par dalaalat karta hai chunancha us main zyadati kashti main taabeer o tabdil ki alaamat hai.