Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein lashkar dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki lashkar kisi jagah par hai ya aaya hai daleel hai ki us jagah walon ko takleef pahunchegi aur agar lashkar ko aarasta dekhe toh jis mulk main lashkar hai us ki quwat aur nusrat par daleel hai aur jis badshah ka lashkar hai us ki quwat par daleel hai aur agar lashkar baghair sulah ke hai toh us badshah aur ahale mulk ke zaaf aur aajiri par daleel hai.


hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki lashkar ko khwab main dekhna paanch wajah par hai 1. dadi dil 2. seel 3. sakht hawa 4. jung o khuumat 5. bala aur mahnat.

1. agar lashkar main farishta ya aalim ho toh mohdeen ki nusrat ki daleel hai.

2. agar dekhe ki lashkar shahri gali ya muhalle main aaraha hai toh muslka dhaar baarish hone ki daleel hai.

3. agar khud ko chhote lashkar main dekhe toh ye jung karega aur kamiyab hoga baaz hazraat farmate hain ki lashkar momneen ke liye nusrat aur zalimeen ke liye inteqaam ki alaamat hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!