Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Simat E Namaz dekhna


1. kisi ne khwab dekha ki woh mushriq ki tarah rukh kar ke namaz padh raha hai toh daleel hai woh mazhab ke lihaaz se ghalat simt chalne wala, logon par zyada behtaan tarashi karne wala gunahon par bebaak hai kyonki us ne simt qiblah main yahudiyon ki muwaqifat ki.

2. mushriq ke qareebi simt ki taraf rukh kar ke namaz padhne wale aadmi deen main baatil mila kar bidaat ka irtakaab karne wala hai.


3. kisi ne khwab dekha goya woh qibla ki pusht ke qareeb rukh kar ke namaz padh raha raha hai toh daleel hai us ne maafi ka irtaka kar ke ya jhuti qasam kha kar ya kisi paakdaaman aurat par tohmat laga kar islaam ko pas pasht daal diya ya hai na hi fawahish ke irtakab se khud ko bachata hai aur na hi ahakaame ilaahi ki paaksudari karta hai.

4. agar kisi ne dekha ki woh qibla ko nahin pahchan raha hai ya qibla ki talaash main hai magar un main kaamyabi nahin hoti toh daleel hai ki woh apne deen ke silsile main hyeerano sar gardan honge.

5. kaaba ki taraf rukha kar ke namaz padhna us ke deen ke durust hone ki alaamat hai.

6. khwab dekhna ki gher qiblaa rukh ho kar namaz padhi aur safeed kapdhe zyeebe tan kiya hua hai. aur durust quraan padh raha hai toh taabeer hai ki us ko haj naseeb hoga.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!