Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein raat dekhna


Us ki taabeer batalat amal hai.

1. roshni ke bagher andheri raat dekhna maash ke thap hone ki alaamat hai.

2. ayesi raat dekhna jis main chand ki roshni bhi ho badshah ke apne tamaam kamon ko apne wazeer ke supurd karne, choron aur dakuon ke us ki taraf motawjja hone ki daleel hai.

3. raat khatam ho kar din zaahir hota dekh ghamzadon ke liye gham se khulasi aur mahsureen ke liye hisaar toot jaane, mahangaai ka shikar logon ke liye arzani aur maztalun ke liye zalim se chhutkara haasil karne ke basharat hai.

4. raat zojan ke yak jaa hone ki aur din ke darmiyan tafreeq ki alaamat hai.

5. andheri raataein kaali bandhiyon par dalaalat karti hain aur zulmat ki dalaalat gumrahi par hoti hai.

6. raat ki andheri ke saath gharj, kadhak bijli aur sakht tez hua bhi ho toh us ilaaqe main gumrahij ka door dora hoga.

7. apne ghar main andhera dekhna door dora safar karne ki daleel hai.


8. din raat ki taabeer mattuzaad hain chunancha din ki taabeer musalman aur raat ki qaafir hai. kabhi din raat ki taabeer do khasam bhi ho sakte hian aur do so kaneain bhi, kabhi raat ki taabeer nikah aur din ki taabeer talaaq hoti hai. aur kabhi raat kasad bajaari zaaya ki barbadi aur safron par dalaalat karni hai. aur din ki dalaalat nifaq, bajaar ki chahal pahal hoti hai aur kabhi raat ki dalaalat maut par aur din ki dalaalat baas baad almaut par hoti hai aur kabhi din, raat donon ki dalaalat do aadil gawah hon par hoti hai.

9. khwab main talu fajar dekhna mareez ke liye beemari se khulasi ya maut ki daleel hai qaidi ke liye qaid se chhutkare ki alaamat hai, gunahgar ke liye tauba aur qaafir ke liye islaam ki basharat hai aur jis ka karobar band ho us ke liye karobar chalne ki naweed hai.

10. din ke baad raat dakhil hone ki taabeerain mazkura taabeerain ke bar aks hongi.

11. pure zamane ko aur ilaaqe ko raat ke lapait main aate dekhna us ilaaqe main faqron faaqa, gham wa andawa aur maut ke waqua ki daleel hai. kabhi din raat baeed kher ho ya shar qareeb hone par dalaalat karte hain aur kabhi un donon ki dalaalat naseehat ki baatein sunne aur nidaamat ke shikar hone par hoti hai, aur kabhi raat zamane ke inqilaabat karti hai, aur raat kaali aurat par aur din gori aurat par dalaalat karta hai aur raat labaas par aur din maash par dalaalat karta hai. ghair musaafir ke liye raat parda poshi aur khauf se maanun hone par dalaalat karti hai aur musaafir ke liye raat zulm ke ghere main aane ki alaamat hai aur raat yameen par bhi dalaalat karti hai allah taala ka farmaan hai “aur tahjjud padhne walon ke liye raat apne maqsad main kamiyab hone, zarooriyat ke pure hone aur ghayeb shuda doston ke saath yakja hone par dalaalat karti hai.

12. chamakti raatein maslan lelatul qdra wagera ke aamad ki basharat hoti hai yahi taabeer shabe barat, shabe meraj, aur shabe juma ki hain.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!