Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Shabnam dekhna

Shabaan (charwaha)

hazrat bin seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main byeel ya bakri ya gadhe wagera ke charwahe ko dekhe toh har ek cheez ki taabeer us ke qadar ke mutabiq hai ghodhe ka charwaha wilayat aur buzurgi par daleel hai aur ghadhe ka charwaha takht par daleel hai aur byeel ka charwaha sifarat aur nemat aur farakhi par daleel hai aur bakri ka charwaha rozai halaal aur maal aur nemat par daleel hai.


hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki chunaai karta hai aur bhedhiya us ke gale se ek bakri ko le gaya hai daleel hai ki badshah us mulk ko barbaad o kharab karega aur ruiyyat ka haal tabah hoga.

hazrat daniyal alayeh alsalaam ne farmaya hai ki bakriyon ki chaubaai karni daleel hai ki un bakriyon ke shumaar par sardar hoga. aur agar dekhe ki gadriye ne us ko kuch diya hai daleel hai ki us ko kisi sardar se faaida pahunchega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ghadriya naseh mard hai aur logon ke maal ka muhaafiz hai aur har ek kaam ki bahtari logon par zaahir karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!