islam
khwab mein Zamanat Dena
Zamaan (taawaan, zamanat dena)
khwab main kisi kaam ko karne ki zamanat dena us cheez ko laazim pakdhne par dalaalat karta hai jo mazmoon alayeh se muabbar hai.
1. chunancha kisi taraf se sadaqa dene ya kisi ki zaroorat puri karne ya kisi majboor ki madad nek kaamon ki zamanat dena khud neki karne aur neki par kisi ki madad karne par dalaalat karta hai.
2. sharab ya haraam maal ki zamanat deta taawaan, maal main kami aur faaqa ki alaamat hai is liye ki zaaman taawaan dene wala hota hai.
3. khwab main kisi aadmi ki zamanat dena us shakhs se adab aur ilm seekhne ki daleel hai aur kabhi us ki dalaalat nadaamat par bhi hoti hai.