Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein talaq dena


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khwab main dekhe ki us ne aurat ko talaaq di hai aur us ki ek hi aurat hai daleel hai ki martabe aur izzat se girega aur agar us ki us aurat ke siwa aur aurat bhi hai daleel hai ki us ke martabe main aur izzat main kuch kami hogi.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmay hai agar dekhe ki us ne aurat ko talaaq di hai daleel hai ki ayesa kaam karega ki jis se pasheeman hoga. aur khwab main khula karna (yaani aurat se maal le kar talaaq dena) daulat mand hai farmane huq taala ne (aur agar aurat mard juda ho jaaye toh allah taala har ek ko apni kashaish se be niyaz karega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki ghula hua abrak apne jism par mala hai aur aag main gaya hai aur us ko aag se nuqsan nahin pahuncha hai daleel hai ki badshah ki burai us se door hogi aur agar dekhe ki abrak khula hai daleel hai ki maal ko ranj aur sakhti se haasil karega aur agar dekhe ki abrak us ke paas se zaaya hua hai daleel hai ki us ka maal talaf hoga.


talaaq

1. ghair shaadi shuda ka khwab main talaaq ka lafz istamal karna jis amal main hai us ko chhodhne ki alaamat hai.

2. aur matzooj ka khwab main talaaq dena maashiyat ke khatam hone ya marjaane par dalaalat karta hai khasusan agar mareez ho toh marne par hi dalaalat karta hai.

3. khwab main apni beewee ko talaaq dena kabhi mustaghna hone par bhi dalaalat karta hai. laqaul taala “aur agar donon juda ho jawain toh allah har ek ko be pardah karega apni kashaish se khwab main beewee ko talaaqe rajai dena apne peshe ko chand ayaam ke liye dobara karne ki neeyat se chhodhne par dalaalat karta hai.

4. aur talaaq baaena dena apne peshe ko tark karne aur dubara na karne ki neeyat se chhodhne par dalaalat karta hai.

5. aur talaaqe sunnat dena hatta ki teen hyeez mukammal huye toh mustaghna hone ke baad apne kaam ko chhodhne ki daleel hai.

6. baaz ne kaha talaaq dena badshah ko chhodhne ki daleel hai. baaz ne kaha us ki taabeer apni saltanat se judaai hai aur kabhi talaaq dena faqar main mubtala hone ki taraf ishaara hota hai isliye ki aurat mard ki quwwat aur us ki duniya hai.

7. kisi ki beewee mareez hua aur woh khwab main us ko talaaqe baain de toh us aurat ke marne ki daleel hai. yahi taabeer us ko bechne aur izaad karne ki hai aur mareeza ko talaaqe razai dena us ke sahatyaab hone ki taraf ishaara hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!