Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Chadar dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki chadar khwab main dekhna aurat ka satar posh hai aur agar koi dekhe ki auraton ki tarah chadar pahne hue hai toh daleel hai ki us kaam main kher o shar hai. lekin us kaam ko us se bura jaayege aur agar koi dekhe ki chadar phat gai hai ya jal gai hai toh daleel hai ki us waqt us ki pardah dari ki jaegi.


hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki chadar shabe khwab main dekhna aurat hai. agar koi dekhe ki us ke paas chadar shab hai ya us ko kisi ne di hai toh daleel hai nai aurat karega. aur agar koi dekhe ki nai chadar kharidi hai toh daleel hai ki kaneez kharidega. aur us ko farzand paida hoga, aur agar ye khwab aurat dekhe toh daleel hai ki woh shohar karega, aur agar aurat dekhe ki su ki chadar shab jal gai hai toh daleel hai ki us ka shohar marega ya us ko taaqat dega.

hazrat jaafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main chadar dekhna teen wajah par hai awwal qadaro jah, duwam mard ko aurat aur aurat ko mard ka hasool, suwwam ghar ki hukumat aur sardari.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!