Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein jaamia masjid shahar ki dekhna

1. Is ki dalaalat badshaah par jo us ke amur ki nigraani karta hai hoti hai aur us se islaam ki tarakki ki taraf bhi ishaara hai aur us se haq-o-batil ke darmiyan faisala karne wale haakim par bhi dalaalat hoti hai aur jaamia masjid us bazaar par bhi daal hai jis ki taraf log munafa hasil karne ki garj se rukh karte hai aur apni koshisho ki bekadr munafa kama kar us se nikalte hai.

2. Is ki dalaalat is shakhas se bhi hoti hai jis ki ta-badari laajami hai’ maslan walid, ustaad.

3. majlum ka khwab me jaamia masjid me dakhil hona us ke sath insaaf hone ki taraf ishara hota hai.

4. Usi ki tarah is ki dalaalat qur-aan kareem par bhi hoti hai.

5. Kabhi dariya par aur hamaam par jo mahal tiharat hai’ aur makbarah par jo mahal khushu hai dalaalat hoti hai, usi tarah is ki dalaalat gusl’ khushbu’ khamoshi aur paak damani aur har us chiz par hoti hai jis ke jariye dushman ka muqaabala kiya jata hai maslan kila wagerah.

6. Is ki chhato ki dalaalat’ badshaah ke khaas aur uske ke ma-amlaat se bakhabar logo par hoti hai’ aur us ke satun badshaah ke maatahat amraa-e governaro ki alaamat hai. Us ki shamai aur us ki dukane aur wah aashiya jin se uski tajeen hoti hai badshaah ke maatahat aulma-e par dalaalat karti hai aur jaamia masjid ke darwaze badshaah ya shahar ke darbaano par aur us ke mau-a-janin ki dalaalat badshaah ke naa-e-b aur us ke secretory atalaa-at par hoti hai.




Jaamia masjid ki dalaalat agar badshaah par hoto us ki satuno ki tabeer badshaah ke aukaat kaar se aur us ki roshniyo ki tabeer faslaa-e-jamaana faqhaa-e-asar se ki jati hai aur us ki chataiyo ki tabeer us ke ahqaam aur farmaan ke wasi hone se ki jati hai aur uski chhate un kitabo par dalaalat karti hai jin ko poshida taur par nakal kiya hai aur mushkil me unki taraf rukh karta hai’ aur us ki azaan dene ki jagah logo ke majmaa par dalaalat karta hai aur us ke mimbar ki dalaalat gulaam par aur us ke mehraab ki dalaalat badshaah ki biwi par hoti hai. Kabhi mehraab ki dalaalat rizk halaal aur joja-e-saleha par bhi hoti hai aur jaamia masjid ki meenar ki tabeer wajir aur imaam hai. Kabhi meenar-e-jaamia masjid ki dalaalat us ke mau-ajjin par aur us ke qur-aan kareem ki dalaalat padhane walo par aur mimbar ki dalaalat us ke khateeb par aur us ke darwajo ki dalaalat us ke darbaano aur un ke dusre amur roshaniyo aur farsh wagerah ki hifazar karne walo par hoti hai.



Chunanche jaamia masjid me ki yaaj ya us ki kisi khas chiz ka jyada ya kam hona logo ke halaat me kami jayaadati ki alaamat hai jin par ye ashiya-a dalaalat karti hai. Shamiyano ki tabeer jis ko islaami hukmaraan apne sath safar me le jaate hai aur eid ya dusri namazo me wagerah ke lie nasab karte hai iqaamat-e-deen’ aur islaami aqidaar ki baladasti’ dushmano par galbaa wagerah se ki jaati hai khwab me un ka jalna aur us se boo aana’ saathi ke ghum hon jaane aur hukumat me tageer daaka hone par dalaalat karta hai aur us ki diyodhi tabeer bhi un ki diyodhiyo ki tarah hai jin ko abur ke kilo tak pahuchaya ja sakata hai.

7. Khwab me jaamia masjid ke paas khada hona hukmarano ke lie fauzi aur makanaat par dalaalaat karta hai aur kabhi jaamia masjid ki dalaalat ahle madina’ aur shahar ke bade logo par hoti hai kabhi iske mehraab ki dalaalat logo ke paishwai par aur iske minbar ki badshaah ya khatib par hoti hai. Isi ke kajiliyo ki dalaalat alhal-e-ilm’ ahal-e-kher’ jehaad aur sarhado ki maha fuzo par hoti hai aur iski chataiyo ki tabeer alah-e-khero islaah aur wah log he jo masjid me namaz ke lie jama hote hai aur jaamia masjid ke mau-ajjin ki tabeer shahar ke qaazi ya ede aalim se ki jaati hai jo logo ko raah raste par aane ki da-aat deta hai aur logo ke haa uski baat maani jaati hai aur uski rehnumai ki pervi ki jaati hai aur uski pukaar ko suna jaata hai. Aur uski dua par aameen kaha jaata hai. Aur uske darbaano ki tabeer amaal’ me aur uske muhafiz kism ke log hai jo logo ki murafat or hifazat krte hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!