Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Janubi Badan (napak Hona)

Agar koi khwab me apne aap ko junubi dekhe to daleel hai ke haraam me hairaan wa pareshan hoga ba-aj ahale tabeer ne bayaan kiya hai ke safar karega aur duniya ke muraad payega aur iska kaam tabaah hoga.

Aur agar dekhe ke gusal junaabat kiya hai aur libaas pehna hai to daleel hai ke aakhir kaar kaam se nizaat payega aur uska kaam tabaah hoga aur agar tamaan ho kar betha to daleel haike is ka kaam tamaam na hoga – yaani pura na hoga.


Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai agar koi khwab me apne aap ko junubi aur barhana dekhe to daleel hai ke apne kaam me hairan aur aazij hoga aur agar dekhe ke hamaam me gusl kiya hai aur nikal kar pakiza libaas pehna hai to daleel hai ke haq ta-ala ki taraf ruzu-a karega aur tauba karega.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!