Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Kachwa dekhna

Kachhwaa
Us ko khwab main dekhna ayesi aurat par dalaalat karta hai jo khushboo waghaira lagaye aur zeenat akhtiyar kare aur apne aap ko murdon par pesh kare.

1. aur kaha gaya ki kachhwe se muraad al qaza hota hai is liye ki woh samandar ke haalat ko zyada jaanta hai aur kaha gaya ki us se muraad koi aalim aadmi hai.

2. aur agar us ne dekha ki kisi shahar ya kisi gaaon main kachhwe ki izzat ki jaa rahi hai toh us jagah par ulma ki izzat hoti hai aur agar us ne kachhwe ko kudhe karkat ki jagah par dekha ki us ki hiqarat ki gai hai toh us jagah par koi aalim jhaalon ke darmiyan zaaya ho raha hoga aur baaz ne kaha hai sahibe khwab aabid aur hazrat ibraheem alayeh alsalam ke saheefon ko aur tamaam anbiyan alayehi alsalam ki kitabon ko padhne wala hoga.


3. aur kachhwe ka gosht khana maal aur ayesa aalim par dalaalat karta hai jo uloom anbiya main shumaar nahin hota aur wahan se haasil karega jahan se use uloom anbiya ke milne ka guman bhi na hoga aur kaha gaya ki js ne kachhwe ka gosht khaya toh bhalai, neki, nafaa aur maal payega.

4. aur jis ne dekha ki us ne kachhwa pakda ya us ka maalik hua ya us ko apne ghar main daakhil kiya woh kisi maahir insaan se milega jo uloom qadeema ka aalim hoga.

5. aur agar us ne dekha ki kachhwa us ke raaste main padha hai toh wahan ilm padha hua hoga jis ka ahtamaam nahin kiya jaa raha hoga.

6. aur agar us ne dekha goya ki woh kisi bartan ya kisi kapde main hifazat ke saath pada hua hai toh wahan aalim buland martaba aur maazaz hoga aur kaha gaya ki kachhwa khwab main dhoka, fareb, jasoosi, chhipne par, badaai par aur aslah jama karne par dalaalat karta hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!