islam
khwab mein Laqwa dekhna
Beemari hai
laqwah ek beemari hai jis main muh teda ho jata hai hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar koi khwab main dekhe ki laqwah ki beemari se us ka chahra teda ho gaya hai daleel hai ki logon ko nazdik zaleel o khwar hoga aur agar dekhe ki us ka chahra khub soorat aur umda hai daleel hai ki logon main maajaz aur maqbool hoga.
hazrat jafar sadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main laqwah par daleel hai ki logon main nifaaq ki baatein karega aur agar dekhe us ko laqwah ho gaya hai beemari ke zaahir hone aur nuqsaan deen par daleel hai.
laqwah
us ki taabeer deeni fasaad hai khwab main laqwah zada hona taqwa chhodhne bidaat main mubtala hone aur azaab nazil hone ki alaamat hai.