islam
khwab mein Larai dekhna
1. khwab main kisi ke saath ladai karna us ke saath dhoka karne ki alaamat hai aur kabhi ladai ki dalaalat mahangai par bhi hoti hai.
2. kisi shohar walon ki khwab main aapas main ladte dekhna un ke mahangai main mubtala hone ki daleel hai.
3. aur badshah ke saath ladna arzaani ki nishani hai.
4. badshahon ki aapas ki ladai fitna aru waba phailne par dalaalat karti hai.
5. ruiyyat aur badshah ka aapas ka nazaa ashiya khur dani mahangai hone ki taraf mayashshar hai aur ladai taabeer pareshani taaun waghaira bhi ho sakti hai.
6. jabki amal tamaam logon ke pareshan aur ghamgeen hone ki alaamat hai qasaas ka amal karne walon aur fauj walon aur suleh ka maamla karne walon ke liye ye khwab daleel khair aur alaamat aasaani hai.