islam
khwab me Attaar (ittar Bechne wala) ko dekhna
Agar koi khwab main dekhe ki attaari karta hai daleel hai ki log us ka shukriya karenge aur agar dekhe ki logon ke paas khushbu farokht karta hai daleel hai ki woh waada kar ke khilaaf karenge.
hazrat ismaeel ashaas rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us ki muhabbat aur dosti attaar aadmi se hui hai daleel hai ki log us ki madah aur sana karenge aur naamdar hoga.
attaar (attaar)
1. khwab main attar faroosh aalim, zaahid, aabid ya adeeb hai. jo bhi uska qurb haasil karega adab main achhi taareef wa achha zikra kar aru farhat wa saroor haasil karega magar ye ki woh ganda zahan shakhs hoga. baaz hazraat kahte hain ki attar faroosh ko dekhna kanghi karne wali aurat ko dekhna hai. khwab main attar faroosh dekhna ilm, hidaayat, madah aur achhi taareef ka hasool hai.