Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

Khawab me Aabadi Dekhna

Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke wiraan jagah ko aabad karta jese masjid’ madarsa’ khankah aur jo-un ke mashaba hai to ye deen aur akal ki salaah aur aakhirat ke sawaab ki daleel hai aur agar dekhe ke wiraan zameen ko khud aabad karta hai jese saraaye ya dukaan wagerah banata hai to us jahan ke faayede aur kher ki daleel hai aur agar aabad jagah ko wiraan dekhe to daleel hai us jagah bala aur musibat pahuchegi.


Hazarat jabeer magribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me apne aapko aabad jagah me mukim dekhe to daleel hai ke aabadi ke andaaz se par kher aur nafa payega uar agar iske khilaaf dekhe to shar aur fasaad aur nuksaan payega.

Hazarat jaafar saadik radi allah ta-ala anhu ne farmaya hai ke aabadi ka dekhna 4 wajah par hai.

1. Is jahan ke kaamo ki salaah par.

2. Kher aur muf-at.

3. Murad-o-kaamrani.

4. Bastah kaamo ki kashaish.

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button
error: Content is protected !!