Our website is made possible by displaying online advertisements to our visitors. Please consider supporting us by whitelisting our website.
islam

khwab mein Juma Ki Namaz


1. Kisi ne khwab dekha ke jumma ka din hai to tabeer hai ke allah ta-aala uske amure mutfaraika ko mujtama farmayenge aur uski tangi was-at se badal jayegi aur barkat us ki taraf laut aayegi.

2. Kisi ilaake ke wali ne khwab dekha ke log jumma ki namaz padh rahe hai aur wah apne ghar ya dukan me takbir raku wa sajud ki awaz sun raha hai fir ye kiya ke log namz-e-jumma se faarig ho kar laut gaye hai to ye khwab us wali ki maujudagi ki daleel hai.


3. Kisi ne dekha ke us ne khwab me jumma ki namaz ki mahafizat ki to ye sahib-e-khwab ke mau-ajjis-o-mukarram hone par daleel hai.

4. khwab dekha ke jumma ka din hai to yeh kher ki alaamat hai.

5. Kisi ne dekha ki usne jumma ki namaz padi aur muqammal ki to daleel hai ke wah na jaayij safar karega aur usme jyadati maal-o-jar talaash karega jo us ko milega. Agar sahib-e-khwab ki badshaah tak rasaai ho to us ko kuchh karne ya us se kuchh talab karne aur us me kaamiyab hone ki daleel hai.

6. Kabhi jumma ki namaz puri padna umid ke puri hone ki alaamat hai aur apne maksad ko pane ki nishani hai.

7. Kabhi jumma padhna mand raza jil amur par dalaalat karta hai khushhaali, surur, eidon me hajiri, haj or haj ke mausam ko pana balki jumma ada karna gurba karne ke lie haj ki alaamat hai.

8. Kabhi jumma ki namaz padhna apni jarurat ko paane aur dosto ke sath milne ki dalaalat hai.

Related Articles

Back to top button
error: Content is protected !!